Zindagi Par Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Zindagi Par. Here they are! All 14 of them:

Zindagi ko badalne me waqt nahi lagta, Par kabhi kabhi waqt ko badalne me zindagi lag jati hai!!
Sudeep Nagarkar (You’re the Password to My Life)
Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota.. khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain.. Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai... Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.
Umera Ahmed
Kisi ko apni zindagi k poshidah goshay dikha kar ye kehna k ' daikho men ne tm par aitabar kiya hai...meray aitabar ko totnay na daina' uske toheen aur tazleel karny k matradif hai...men samjhta hon k insan ya to kise par aitabar kary nahi...aur agr kary to phr pora aitabar kary...ye kch aitabar aur kch bay aitabari wali kefiat dono fareqon k lye takleef dah hoti hai.
Farhat Ishtiaq (Dil Se Niklay Hain Jo Lafz / دل سے نکلے ہیں جو لفظ)
Zindagi kadam-kadam par Samjothe ka asal naam hain
Wajid Shaikh (Sukoon)
SUCH WAS HIS CONFIDENCE IN HIS FREEDOM THAT HE NEVER SPREAD HIS WINGS TO CHECK उसे इतना भरोसा था अपने आज़ाद होने पर की तमाम ज़िन्दगी उसने फैलाए ही नहीं पर USEY ITNA BHAROSA THA APNE AAZAD HONE PAR KI TAMAM ZINDAGI USNE PHAILAYE HI NAHIN PAR
Vineet Raj Kapoor
WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SAB…. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
Renu Maurya
Tawaazo' ki haqeeqat sifaaki se mumataaz hai, iltifaat mahaz khaatir-khawaahi nahin, khaamoshi ghussay ki tarjumaani nahin, aur aansoo'on ka jharna kamzori ka nishaan nahin. Insaani jazbaat ki yeh naazuk pahlu hain. Aksar hum in ma'mooli si baaton ko ahmiyat nahin dete, jo baa'is hoti hain ke hamaari rooho ko bechaini aati hai. Haqeeqat mein in chhoti chhoti baaton ka idraak hi zindagi ke lateef pahluo'on ko samajhne ki kunji hai. Chunnanche hamen in sab par ghaur karna chahiye, taakih hum zindagi ke haqeeqi ma'ani samajh sakein. Insaaniyat ka sarmaya isi mein panhaan hai. Taakey hum qudrati rawayon ko bhi ghalat na samjhein aur doosron ke jazbaat ko thes na pohnchaayen.
Huzefa Nalkheda wala
Gazal of Janid Kashmiri {NAHI HAI GHAM SIRF TUM KO } Nahi hai gham sirf tum ko, Mujhe bhi gham hai bohot jana, Ye zindagi ki raahon mein, Hai humne dukh se bhi takrana. Tumhare aansoon hain qeemti, Mere bhi dard hain kahin chhupay, Par humko mil kar chalna hai, Har mushkil se humko ladna hai. Raat ke andheron se darte nahi, Subah ki roshni ko paana hai, Dil mein umeedon ka chirag jalao, Har rukh ko roshan kar dena hai. Ghamon ki baarishon mein bhi, Sang rahe humara pyaar, Ek doosre ka saath denge, Mushkil ghadiyon ko aasan karenge. Tum ho meri zindagi ka rang, Meri khushi, meri duniya ho, Mushkil raahon pe chal kar bhi, Har manzil tumse hi roshan ho. To chalo saath hum mil kar, Har gham ko hum saath sahenge, Mere haath mein tumhara haath ho, Har dukh ko hum khushiyon mein badal denge.
Janid Kashmiri
Dua" Yeh jo rahein tumne li hain Hum duago hain yeh sab hamwaar hon Khawab jo tumne sanware the dil mein Woh haqeeqat ki soorat namoodar hon Har qadam par mile tumko kamiyabi Zindagi mein khushi ke hazaron bahar hon Har museebat se tumko bachaye Khuda Saya-e-Rehmat tum pe hamesha barqarar hon Aaney walay dino mein ho roshan safar Tumhare liye khushi ke ambaar hon Yeh jo ilm ka khazana tumne paya hai Iski roshni tumhare gird hisaar ho Tum jahan bhi jao, roshni ho har qadam Andheron se tumhara koi wasita na ho Mohabbat ki khushboo tumhare sang chale Har dil mein tumhare liye pyar ho Gham ke saaye kabhi tum par na aayein Tumhari zindagi hamesha khushgawar ho Humari duaein hain, har pal tumhare saath Tumhari har dua bhi qubool o aashkaar ho
Janid Kashmiri
GUZAR TA NAHI YE SHAAM-E-GHAM Guzar ta nahi ye shaam-e-gham Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam Qadam qadam par thakan ka pehra Himaton ke chiragh bhi ho gaye madhham Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam Khawab jo bune the, reza reza huye Haath khaali rahe, na raha koi dum Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa Kitna aur sehna hai, bata ye sanam Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah Warna raah mein bikhar jayein hum
Janid Kashmiri
Aatish hoon toh jaley bina bujhney wala nai hoon... Parta rahoonga falsafa-e-zindagi aakhir tak... Main kisi ek warq par rukney wala nai hoon... Tootney ke khauff se waqif hoon raqeeb ki tarah... Magar yakeen rakhta hoon ke bikharney wala nai hoon.. Manzil ko kabhi issi shauq se taih hi nai kiya... Jaanta hoon, Main kisi ek meel pathar par thehraney wala nai hoon...
Jasz Gill
Main wo saath hoon jo zindagi bhar saath nibhaunga.. Koi bhi shanka ho Ya koi bhi sankoch Main har kadam Tujhe bulandiyon se milaunga.. Chahe Mausam jitni tufani Ya ho koi bhi pareshani Main khamoshi se bin kuch kahe Sab kuch sehta jaaunga.. Tu chalta rahe, badhta rahe Nirbhay aur nidar Tere har khwab ko Main apni palkon par sajaunga... Main wo saath hoon Jo zindagi bhar saath nibhaunga...
A2K
Idea par dedication aa jaye agar Hakikat mein, Ek Startup Zindagi Ka Rukh Badal Sakti Hai Aaj
Ranjan Mistry
Sonnet 1147 Only way to grow together as a couple, is to nourish each other's individual growth. Only way to grow together as a society, is to empower each other's personal growth. Learn from Manu, Majnun, Vyas and M.A.S.H, Absorb all good like an eager sponge. Tradition of tribe has outstayed its welcome, Now outgrow the fences across fearful hunch. Na desi, na videsi, Banna hai to bano visvadesi. Bohot aye despar marnevaale, Des ke par chalo sudhare insani zindagi. Ni local, ni extranjero, Simplemente seamos humano. Más allá de la patria, más allá de la muerte, Vivamos como un planeta pueblo. Ni obediente, ni opresivo - Luchando por igualdad seremos humano.
Abhijit Naskar (Visvavictor: Kanima Akiyor Kainat)