Mere Apne Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Mere Apne. Here they are! All 7 of them:

Kaash koi Kaash koi mujhe mere in andhero se bahar nikale, Haath pakde mera kuch der roshni me saath nibhale, Dar lagta aaj mujhe apni hi pechaan se, Kash koi mujhse meri hi pechaan chura le, Sahem jata hu mein aksar apni hi aawaj se, Kash koi mujhe apne aap se bacha le, Aaj har mehfil sunsaan hai, har rang berang hai Kash koi aa k mujhe apne rang me mila le, Kaash koi mujhe mere in andhero se bahar nikale, haath pakde mera kuch der roshni me saath nibhale,
Ratish Edwards
Kuch log mere qalam se seete hain apne zakhm, Kuch logo'n ko main chubhta hun ek nok ki tarah...
Nitya Prakash
Shayero'n si Shayeri main karta chala gya, Mehboob ko bahoo'n mein bharta chala gya. Tha unko bhi Ilam iss mohabat mere dost, Par najane kyun woh apne aap se mukarta chala gya
Samar Sudha
Dil mein kuch arzoo hain nayi, kuch majbooriyan bhi saath hain Raaste do hain samne mere, dono hi mein kuch khaas hain Shukrguzaar hoon main aapka, iltija ye meri maan lein Kuch waqt ki kami padegi, ijazat mujhe thodi chahiye Kitaabon ka bhi bulaya hai, imtehaan ka bhi waqt aaya hai Apne hunar ko aazmana hai, par raasta mushkil dikhaya hai
Huzefa Nalkheda wala
Dil mein kuch arzoo hain nayi, kuch majbooriyan bhi saath hain Raaste do hain samne mere, dono hi mein kuch khaas hain Shukrguzaar hoon main aapka, iltija ye meri maan lein Kuch waqt ki kami padegi, ijazat mujhe thodi chahiye Kitaabon ka bhi bulaya hai, imtehaan ka bhi waqt aaya hai Apne hunar ko aazmana hai, par raasta mushkil dikhaya hai
Huzefa Nalkheda wala
Tumhare bina zindagi" Main tumhare sath hamesha hoon, bas ye baat samajh lo Meri mohabbat sacchi hai, is ko apna yaqeen maan lo Tumhare bina zindagi, bas ek khaali kitaab hai Meri har saans tumhare naam, is ko apna khwab maan lo Ye jo shak ke saaye hain, inhein tum door kar do Meri wafa ko samjho, meri jaan, is ko apna haq maan lo Main jo toota hoon, ye tumhare gham mein hai Meri mohabbat ki shiddat, is ko apni aas maan lo Tum se bicharna, ye mera naseeb nahi ho sakta Meri jaan, mere dil ki baat sun lo, mujhe apna naseeb maan lo Jo dard tumhare dil mein hai, wo mere dil mein hai Meri mohabbat ki gawahi, is ko apna sukoon maan lo Main tumhara tha, tumhara hoon, aur tumhara rahoonga Meri jaan, is haqeeqat ko apne dil mein amanat maan lo Ab jo dil mein basa hai, wahi rahega hamesha Mere ishq ki shiddat, is ko apni jaan ka hissa maan lo Shaista, meri pyari Shaista, bas itni si guzarish hai Meri jaan, mujhe apna samajh lo, aur kabhi chhod ke mat jao
Janid Kashmiri
Yaar, Dard to sab ko hota he. Koy ro ke batata he apni best friend ko. Ko muskurake ke batata he apne dil ko. Bath ye he dono sach or bharose mand hona chahiye. Alhamdullilah mere pass dono bhi he. Dil bhi or best friend bhi
-