Zakhm Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Zakhm. Here they are! All 8 of them:

Kuch log mere qalam se seete hain apne zakhm, Kuch logo'n ko main chubhta hun ek nok ki tarah...
Nitya Prakash
Har shakhs ke zakhm, uski mizaj aur mizaj par ek hi asar nahi daltay. Baaz ke liye, zakhm unhe mazboot bana deta hai, lekin baaz ke liye yeh unki nazukiyat ko aur zyada shakhsiyat deta hai. Yeh ghalatfehmi hai ke har zakhm aapko mazboot banata hai. Haqeeqat mein, asal taqat uss zakhm ko tasleem karne aur uss se ubharne mein hai, taake uss ke andar chhupi taqat ko pehchanein.
Huzefa Nalkheda wala
daaG duniyaa ne diye zaKHm zamaane se mile ham ko tohfe ye tumhe.n dost banaane se mile
Kaif Bhopali
jo zaKHm detaa hai to be-asar hii detaa hai KHalish vo de ki jise bhuul bhii na paa.uu.n mai.n The poet/lover is challenging the beloved to hurt him like he can never recover again. Fair enough, you see? If he can’t recover, he will never forget her and that indeed is the mission.
khaleel tanveer
Rabt ho gar khaamushi ka phir ye hona chahiye Lab pe jo aata nahin aankhon mein dekhna chahiye रब्त हो गर खामुशी का फिर ये होना चाहिए लब पे जो आता नहीं आंखों में दिखना चाहिए Khud kaha tha auraten kamzor hain hamne to phir Aadmi ko aadmi ka khoon piina chahiye खुद कहा था औरतें कमज़ोर हैं हमने तो फिर आदमी को आदमी का खून पीना चाहिए इस जमाने में जहां mamta bhi jhoothi ho sake Is zamane mein bhi tujhko ishq sachha chahiye इस ज़माने में जहां ममता भी झूठी ही सके उस ज़माने में भी तुझको इश्क़ सच्चा चाहिए Hain azal se hi hamen Farhaad banne ki talab Aur ziyaada ishq se hamko bhala kya chahiye हैं अज़ल से ही हमें फरहाद बनने की तलब और ज़ियादा इश्क़ से हमको भला क्या चाहिए Josh mein sab par katar kar rakh diye hamne magar Ab falak tak pahunchne ko ek gana chahiye जोश में सब पर कतर कर रख दिए हमने मगर अब फलक तक पहुँचने को एक जाना चाहिए Kaun kahta hai ki jitega to khush ho jaayenge Sher Kehne ke liye umeed paspaa chahiye कौन कहता है कि जीतेंगे तो खुश हो जाएंगे शेर कहने के लिए मम्मी पापा चाहिए Maine marham se kaha dikhla tu hamko mojza Zakhm to bharte hi hai naasoor bharna chahiye मैंने मरहम से कहा दिखला तू हमको मोजिज़ा ज़ख्म तो भरते ही है नासूर भरना चाहिए Misr ke bazaar mein naadan kharha Yusuf mira Aur bina sauda kiye usko Zulaikha chahiye मिस्र के बाज़ार में नादां खड़ा यूसुफ मिरा और बिना सौदा किए उसको जुलैख़ा चाहिए Aye khuda Sadiq ko tujhse kya gila jurrat siva Saath Mein sat kar nadi se ik gharaunda chahiya आये खुदा सादिक़ की तुझसे क्या गिला जुर्रत सिवा साथ में सट कर नदी से इक घरौंदा चाहिए
Taikhum Sadiq
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
Ratish Edwards
MEIN PIS CHUKA HUN Duniya ki iss reet se, Rishton ki iss preet se, Mooh se, man meet se, Mein pis chuka hun. Jhuti muskurahat mein, Dil ki her chaahat mein, Dard ki is parwaahat mein, Mein pis chuka hun. Mitti se bane wajood mein, Sapnon ke thake usool mein, Aansu ki har boond mein, Mein pis chuka hun. Guzar gayi jo rahein thi, Khwabon ki jo baahein thi, Khoye hue fasane ki raahein thi, Mein pis chuka hun. Duniya ke rangon se door hoon, Apne hi rang mein choor hoon, Bas khamoshi mein purzor hoon, Mein pis chuka hun. Khatam hui umeedon ki baat, Rishton ka har pyaala saath, Dil ke har zakhm ki baat, Mein pis chuka hun. Mujhe yun hi rehne do ab, Apni tanhaayi mein jeene do ab, Is fasane se rukhsat lene do ab, Kyunki, mein pis chuka hun.
Janid Kashmiri
KASHISH Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye
Janid Kashmiri