Woh Din Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Woh Din. Here they are! All 3 of them:

Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.
Umera Ahmed
Taalim-o-tadrees ki barhi bad naseebi yeh hai ky aam ustaad amuman oast darjay ka shakhs hota hai aur woh zehni, jismani aur jazbaati tor per lakiir key fakiir qisam ki batin sochta hai. Isy zabt-o-nazam sy middle calss logo sy aur parhaku talbah ko parhany sy muhabbat hoti hai. Lykin sara din woh barhi qadar awar shakhsieto aur in ky karnaamo ki misalen dyta hai. Aysy log jinhuny kabhi mawshray ky saath mutabqat na ki. aam tareen hoty hoy woh aysy logo ki taalim-e-aam kerta hai jin ki satah per woh soch bhi nahi sakta , jin ki satah per woh soch bhi nahi sakta. Is ka apna kirdaar in bechu ko aam banany per masar rehta hai aur iski taalim bechu ko khaas banany per uksati hai. School sy bhaag jany waly bechu ki jagah school mai nahi hoti lykin inhi baaghi bechu ko bench per kharha ker ky in azeem shakhsieto ki rosahn misalen di jati hain jo khud school sy bhagy hoty hyn. Woh bechu ko geniouses ki kitaaben padha ker aam bnany ki koshish kerta hai aur yehi taalim ka sub sy barha almiyah hy." Bano Qudsia
Bano Qudsia (Raja Gidh / راجه گدھ)
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)