Wajood Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Wajood. Here they are! All 3 of them:

Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai.. Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai... Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa.. Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai... Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath.. Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai... Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ... mujhe ek bhi nai mila, lagta hai nasamajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai... Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Mehram.. Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai... Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe.. Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai... Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri.. Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai.. Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar... Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai... Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...
Jasz Gill
Fareb-e-nazar hai sakoon-o-sabaat Tarapta hai har zarra-e-qayanaat Thehrata Nahin Karwaan-E-Wajood Ke Har Lehza Hai Taza Shaan E Wajood Samjhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi Faqat Zauq-E-Parwaaz Hai Zindagi Allama Iqbal Steadiness is a deception from our eyes, Every particle in this universe pulsates with a revolution. Caravan of the existence does not rest, Every moment life renews itself. You might think life is a mystery, Whereas life is merely a flight of desires. *Translation by Jasz Gill
Allama Iqbal (Saqi-Nama: Book of the Winebringer)
MEIN PIS CHUKA HUN Duniya ki iss reet se, Rishton ki iss preet se, Mooh se, man meet se, Mein pis chuka hun. Jhuti muskurahat mein, Dil ki her chaahat mein, Dard ki is parwaahat mein, Mein pis chuka hun. Mitti se bane wajood mein, Sapnon ke thake usool mein, Aansu ki har boond mein, Mein pis chuka hun. Guzar gayi jo rahein thi, Khwabon ki jo baahein thi, Khoye hue fasane ki raahein thi, Mein pis chuka hun. Duniya ke rangon se door hoon, Apne hi rang mein choor hoon, Bas khamoshi mein purzor hoon, Mein pis chuka hun. Khatam hui umeedon ki baat, Rishton ka har pyaala saath, Dil ke har zakhm ki baat, Mein pis chuka hun. Mujhe yun hi rehne do ab, Apni tanhaayi mein jeene do ab, Is fasane se rukhsat lene do ab, Kyunki, mein pis chuka hun.
Janid Kashmiri