Mujhe Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Mujhe. Here they are! All 68 of them:

Yaad-e-Mazi Aazab Hai Ya Rab... Cheen Lay Mujh Say Hafiza Mera.........!!!
Mirza Asadullah Khan Ghalib (Love Sonnets)
Tere jaane ka asar kuch aisa hua mujh par, tujhe dhoondate dhoondate, maine khud ko paa liya
Ravinder Singh (I Too Had a Love Story)
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.. Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.. Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa.. kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.. ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa.. ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa ....
Ahmad Faraz
Zamanay ke sawaloon ko main hass ke taal du Faraz, Lekin nami aankhon ki kehti hai "Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Ahmad Faraz
… and that’s why they leave, isn’t it? Because they have to see themselves in the context of something larger than just the two of them. It’s like that Faiz poem, you know, mujh say pehli si muhabat, when you’ve seen the sorrows of the rest of the world you can’t go on pretending none of it matters, you can’t pretend two people can really live in isolation telling themselves their love is all that matters in the world. And that two of them, when they come back to the city, that’s when they find out that their love was imperfect because it couldn’t bear the knowledge of everything that lies outside…
Kamila Shamsie (Kartography)
Na Jahaan Bheed Ho Na Jahaan Bhar Ke Log Na Shehar Mein Base Laakhon Logon Ka Shor Chand Lamhen Tu Inse Mujhe Durr Kar Chal Chale Apne Ghar Hamsafar Chal Chale Apne Ghar Hamsafar!!!
Neelesh Misra
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan Knowledge said to me, Love is madness; Love said to me, Knowledge is calculation Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab O slave of calculation, do not be a bookworm! Love is Presence entire, Knowledge nothing but a Veil.
Muhammad Iqbal
Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai.. Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai... Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa.. Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai... Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath.. Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai... Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ... mujhe ek bhi nai mila, lagta hai nasamajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai... Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Mehram.. Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai... Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe.. Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai... Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri.. Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai.. Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar... Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai... Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...
Jasz Gill
Dedicated to The loving memory of the girl whom I loved, yet could not marry. Tere jaane ka asar kuch aisa hua mujh par, tujhe dhoondate dhoondate, maine khud ko paa liya
Ravinder Singh (I Too Had a Love Story)
Mere seene pe rakho haath ki dil roshan ho Mujh ko diwali manaane ki ijaazat de do
Tripurari Kumar Sharma
har baat kahte ho juban se mujhe tum... Kabhi apna haal bejuban bhi to bata dil..
Naresh Sharma
Shauq-e-parwaaz ne zinda rakha hai abb tak.. Warna bhoj mujh par bhi hain bahut halaat-e-hayat ke..
Jasz Gill
Ab toh chaahat bhi nahi hai ki, Mujhe kuch naaye log Jaan jaaye ab, Ab toh bs ek hi khwaaish hai ki, Mujhse mere ruthe hue log maan jaaye ab..
Basit Akram
Ranj se khugar hua insaan to mit jaata hai ranj, Mushkilein mujh par padee Itni ke aasaan ho gaeen. If a human being gets accustomed to grief, then grief disappears. I suffered so many hardships, that they became easy to bear.
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
TUJHE WAPIS MEIN LAUN KAISE... Tere bin jeena is dil ko sikhaun kaise, Hoon dil shikasta, tujhe wapis mein laun kaise, Tujhe yaad kar k jo girtay hein aansu mere, Dunya walon se unko chhupaun kaise, Baad tere jo kuch bhi hai beeta mujh par, Dastaan wo mein tujh ko sunaun kaise, Wo jo soya tu us din to na utha kabhi, Raha sochta mein k tujh jo jagaun kaise, Poochtay hein yeh jo mujh se k tu kaisa tha, Teri azmat ka inko bataun kaise, Tujhe bichhray ik arsa ab hone ko hai, Magar is dil ko yeh yaqeen mein dilaun kaise, Chehray ki is hansi pe na jao yaaron, Tum ko dil k zakham mein dikhaun kaise, Tere hone se hi hansta tha yeh dil saadi, Hoon pareshan ab isko hansaun kaise…!
Saad Salman
***Sunn Meri Dastak*** khudse naaraz hai kyu, aisi talaash hai kyu, rooh teri udaas hai kyu bandeya... naa mitegi yeh hasratein, naa bharegi yeh khalaa, naa milega yu sukoon bandeya... sunn meri dastak, khol dil ka dar, kar mujhe qubool bandeya.... le haath mera thaam, aur karle itmenaan, ki yaad nahi mujhe teri koi bhi bhool bandeya...
Henna Sohail
Chakravyuh mein ghusne se pehle, Before entering the circle of deceit, kaun tha mein aur kaisa tha, who I was, and what I was, yeh mujhe yaad hi na rahega. I would not remember. Chakravyuh mein ghusne ke baad, After entering the circle of deceit, mere aur chakravyuh ke beech, (there was) between me and the circle, sirf ek jaanleva nikat’ta thi, only a deathly intimacy iska mujhe pata hi na chalega. that I never realised.
Dilip Chitre
Murad said: ‘I seriously thought about becoming a terrorist.’ He could have, he said. The old city swarmed with agents fishing for recruits. And there were times when he wanted to join them. More than his own torture, he told me, it was the torment of others that made him restless. He could not for some reason expunge from his mind the face of a little girl in the documentary about Gujarat who reminded him of his own sister. He could not make sense of the lack of remorse among Gujarati Hindus. He felt deceived. ‘I never thought I could, but I really hated all Hindus. I wanted to kill them all. I had no emotions left inside me.’ But memories intruded. What I let myself forget in London, he, who grew up without being befriended by another Hindu, held on to in Hyderabad. ‘I remembered that your father sent you to this school to study with us.’ There must be other Hindus who are like me, he thought to himself. ‘Aap ki yaad ne mujhe rok diya,’ he said. ‘It is the memory of you that stopped me.
K.S. Komireddi (Malevolent Republic: A Short History of the New India)
WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SAB…. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
Renu Maurya
Jab Uska Janam Hota Hai Or Wo Is Duniyaa Me Aata Hai Ye Soch Kr Ki Bhaher Ki Duniyaa Bhut Khubsurat Hai Or Sidhe Apni Maa Ke Haatho Me Aaa Jata Hai Use Itna Pyaar Milta Hai Ki Uski Ankhe Bher Aati Hai Apne Maa Ko Itna Khush Dekh Kr Use Ehsaas Hota Hai yahi Hai Jisne Mujhe Itne Saalo Se Apne Sheene Se Laga Kr Rakhaa Hai Or Uske Liye Wo Duniyaa Ki sabsee Anmol Cheez Hai Use Nhi Pata Ki Wo Kon Hai Bs Ak Ehsaas Hai Jo Use Us Se Jodta Hai Poori Duniyaa Me Use Khuch Dhikhta Hi Nhi Jese Wo Apni Aankhe Band Kr Ke Apne Ehsaas Ke Sath Judaa Ho Or Us Ehsaas Se Kabhi Alag Nhi Hota Chahta.
Ashutosh Chaudhary
Compare it with water – which flows freely and naturally. Taking the shape the situation requires. “To grow my business, I need to become free-flowing and flexible like water.” In practical terms, what this meant was losing one’s ego. Seeing more in other people. “Mujhe log dikhai dene lage…unki capability dikhai dene lag gayi.” (I became more sensitive to the capabilities of my people.)
Rashmi Bansal (Take Me Home: The Inspiring Stories of 20 Entrepreneurs from Small Town India with Big-Time Dreams)
Tare yadein to bondoon ki terha hai, Dheere dheere atee hai r mujh phura bhega date hai... Dheere dheere atee hai r mare nende uda datee hai.. Dheere dheere atee hai baicheniya bada dete hai... Dheere dheere atee hai r na a na sapne jagah date hai...tu hai is terha mera jaan tujhe socho to pyaar bada date hai...r nah socho to dhadkan bada date hai...
Alisha
Das ghar to chhut chuke hain kahan tak karoon khasam Kis ja bithaye dekhiye ab asman mujhe.
R.K. Das (Essays on Poetry and Music of Indian Ghazals)
Tum roth jao mujh se aesa kabhi na karna Main ek nazar ko tarsoun aesa kabhi na karna
Zakiya and Majid
Wo Mere Khayalo Ke Ehsas Mein Tha Wo Chup Raha Jab Mere Paas Mein Tha Mein Us-Se Bas Sach Sunna Chahata Tha Aur Wo Mujhe Jooth Bolne Ki Talaash Mein Tha Wo Mere Khayalo Ke Ehsas Mein Tha Wo Chup Raha Jab Mere Paas Mein Tha
Aamir Sarfraz
Ek Toh Kam Zindagani (Marjaavaan) Song Lyrics - Neha Kakkar, Yash Narvekar ft. Nora Fatehi Ek Toh Kum Zindagani Song Lyrics in Hindi from bollywood movie Marjaavaan sung by Neha Kakkar and Yash Narvekar. The hindi song Ek To Kum Zindagani is recreated and composed by Tanishk Bagchi. Ek Toh Kam Zindagani Song Lyrics - Ek Toh Kam Zindagani Us Se Bhi Kam Hai Jawani Ek Toh Kamm Zindagani Us Se Bhi Kam Hai Jawani Jab Tak Josh Mein Jawaani Jab Tak Khoon Mein Rawaani Jab Tak Josh Mein Jawaani Jab Tak Khoon Mein Rawaani Mujhe Hosh Mein Aane Na Do Pyar Do, Pyar Lo Read More visit on filmipanda.com
FilmiPanda
Mujhe pta nhi mohobatt kya hoti hai, Lekin jab jab mai tumhe dekhta hu, tumhe mehsoos krta hu, tumhe yaad krta hu, Maine ab, ussi ko, mohobatt ka naam de diya hai" Meaning in English : (I don't know what true love is. But whenever I see u, I feel u, I remember u, That makes me realize what true love is)
Aditya Bisht
THE INTOXICATION OF HONESTY HAS GOTTEN TO ME I GUESS NOW MY OWN TONGUE IS OF NO USE TO ME सच बोलने का नशा मुझ पे चढ़ा इस क़दर अब तो मेरी ज़ुबाँ भी मेरे काम आने से रही SACH BOLNE KA NASHA MUJH PE CHADHA IS QADAR AB TOH MERI ZUBAAN BHI MERE KAAM AANE SE RAHI
Vineet Raj Kapoor
मुझे शर्मसार कर के समेटा गया है मेरा वज़ूद पूरी तरह कुरेदा गया है (विनीत) MUJHE SHARMSAR KAR KE SAMETA GAYA HAI MERA WAZOOD POORI TARAH KUREDA GAYA HAI I HAVE BEEN EMBARRASSED INTO SUBMISSION MY EXISTENCE HAS BEEN THOROUGHLY SCRUTINIZED
Vineet Raj Kapoor
मुझे शर्मसार कर के समेटा गया है आसमां को भी इसमें लपेटा गया है आज़ादी बिकवा ज़िंदगी खरीदवा दी मेरा वज़ूद पूरी तरह कुरेदा गया है (विनीत) MUJHE SHARMSAR KAR KE SAMETA GAYA HAI AASMAAN KOH BHEE ISME LAPETA GAYA HAI AZAADI BIKVAA ZINDAGI KHAREEDVA DEE MERA WAZOOD POORI TARAH KUREDA GAYA HAI O THEY HAVE EMBARRASSED ME INTO SUBMISSION THE SKY TOO HAS BEEN ROPED IN TO FRAME ME COMPELLED TO SELL MY FREEDOM TO BUY MY LIFE MY EXISTENCE HAS BEEN THOROUGHLY SCRUTINIZED
Vineet Raj Kapoor
Kabhi araju thi hamari, Ki har koi jane mujhe tere naam se, Araju to puri hui hai hamari, Tere naam se hi pahechan hai hamari, Pr bina tere saath ki jindagi hai hamari
Bharati Waghchaure
Phir laa jawab kargayi mujhe teri khudgarz fitrat, Har taa'luk mita diya meine jab, Toh in khwaabon ke zariye raabta dhoond liya tune.
Henna Sohail
Kabhi Kabhi isi khumaar main dekh leta hoon sitaron ko.. Woh bhi mujhe dekhney ki aarzoo main jal rahe hongey..
Jasz Gill
Wo aakey khwaab mein taskine-iztiraab to de, Vale mujhe tapishe-dil majaale-khwaab to de. [Taskine-iztiraab: peace to a restless mind; tapishe-dil : heart in turmoil; majaale-khwab : strength to sleep] She comes in my dream and relieves me of my restlessness but first my agitated heart should let me sleep and dream.
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
Dil-e naazuk pah uske raham aata hai mujhe Ghalib, Na kar sar-garm us kaafir ko ulfat aazmaane mein. (I feel pity for her delicate heart which should not get damaged as she continues to test my love with her hot-headed enthusiasm and infidel-like cruelty.)
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
Aata hai dagh_e_hasrat_e_dil ka shumaar yaad, Mujh se mere gunah ka hisaab ay Khuda na maang. O Lord, please do not ask for an account of my sins as this reminds me of the scars caused by the unfulfilled desires of my heart.
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par? Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
Asadullah Khan Ghilib
This is a bank that does not know anything beyond business. Chetan told me, 'When we make presentations to our MD, he says, "Teri unchi English mere ko samajh me nahi aati hai; mere ko ye bata ki ladoo kidhar hai."' Everybody in HDFC Bank understands what ladoo (a ball-shaped sweetmeat) stands for. The presentations don't last more than four to five slides. Aditya loves talking to the point. 'Paisa kidhar hai woh dikha, mujhe aur kuch nahi samajhta hai, seedha baat pe aa. Mujhe tu global gyan mat de.
Tamal Bandopadhyaya (A Bank for the Buck)
Lots of words are there, vocabulary, in tonns of languages......still none to manifest my feelings.!! bahut saare shabd hain, phir bhi mujhe shabdo ki kami pad rahi hai.
sadhana devi chauhan
Vasiyat Mir ne mujh ko yehi ki Ki sab kuchh hona tu, aashiq na hona.
Ralph Russell (A Thousand Yearnings: A book of Urdu Poetry and Prose)
Pandit Ko bhi Salam hai aur Maulvi ko bhi, mazhab na chahiye mujhe imaan chahiye.” -Akbar Allahabadi
RATHIN BISWAS
Mujhe Pyar Hua Hai, Bas Mila Nahin Hai !
Prathmesh Yelne (The Dark Girl: A Mystery Novel)
Ab thak gya hua maa mein kahi Chupaale daaman mein mujhe kahi
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Kehne ko tumse Main aur kya hi kehta Mujhe ishq tumse tha Tumne kisi aur se samjha
Prathmesh Yelne
Mujhe bhagne ki itni aadat si ho gayi hai, ke therna ab mushkil lgta hai
Komal Thukral (The Escapee Girl)
Meri koi manzil nahi hai, Mujhe to naye raston ki talash hai
Komal Thukral (The Escapee Girl)
Mat puccha karo ab Mera haal mujhse Mujhe zooth bolna nahin aata Aur sach bolna nahin chhaata ....
Prathmesh Yelne
Tera Bachpana Mujhe Pasand Hai Jo Beparwaah Tu Mujhpe Lutati Hai Mere Ishaare Tu Samjh Gayi Toh Accha Hai Warna Mere Hisse, Ye Intezaar Kafi Hai..!
Prathmesh Yelne
Dhoondte Dhoondte kyon tera har ek thikana… Har roz mujhe ku dejata hai ek naya bahana… Zulfon ka woh tera, teri ankhon ko chupana…. Ankhen woh teri, tera main deewana… Husnwalon se toh sahi me bhara hai zamana… Fir bhi qaid hai meri ankhon me woh sirf tera muskurana… Khwaishon se meri zindagi ka yun hi bhar jaana.. Phir bhi har ek khwaish se upar hai, bs tu mujhe mil jaana…
Basit Akram
Tujhe zabaah karne ki khushi, mujhe marne kaa shauk Meri bhi marzi wahi hai, jo mere sayyaad ki hai.
Rupa Publications (Jail Diary of Bhagat Singh)
Tum chaho toh phir bhichad jaana mujhe bas tum phir pahle jaisa kardo
Wajid Shaikh
SAD SHAYARI taras aata hai mujhe masoon si palkho par jab bheeg kar kahti hai ke ab aur roya nahi jata aye hawa unse kahde kabhar meri maut ki aur son kahena ki kafan ki khuwaish mein meri laash unke aanchal ka intezaar kar rahi hai SAD SHAYRI Yeh Tuɱ Se keh Diya kis Ne, ke Baazi Haar Baithay Huɱ! Abhi Tuɱ Pay Lutanay ko Humari Jaan Baqi Hai. SAD SHAYARI Usse yeh weham hai ke ɱai usse chor na paaungi Huɱe ye khauf hai ke r๏yega azɱa ke mujhe !! Jise Tum Sacche Dil Se Pyar Karo Use Kabhi Mat Aazmana…! Kyo Ki Agar Woh Gunehgar Bhi Hua Toh Dil Tumhara Hi Tutega
Hinsmeer.blogspot.com
Mujhe meri pehli dua toh yaad nahi Lekin jab bhi maanga teri khusiyaa maangi
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Woh mila mujhe phir aise ke dubaara phir mila nahi
Wajid Shaikh
Like or Comment karo ya na karo But padh lo Ek baar.. . . Bete Ne Maa k Kandhe Pe Apna Sar Rakh Kar Poochha: “Maa Kab Tak Apne Kandhe Pe Sone Dogi ?” . . . . MAA Ne Hanste Howe Kaha “Jab Tak Log Mujhe Kandhon Pe Na Utha Lein.” . . . . Respect ur parents... . plz agar kuch de ni sakte ho to unhe hurt bhi kabhi na karna .
Ali Azlan Bhalli
Jinki nazron ki khidkiyon se unki rooh ko jhaakne ki ijaazat ho, Mohobbat hai mujhe har us shaks se. Aur shayad isilye khudse mujhe ishq hai..
Henna Sohail
Ab is akelepan se is qadr ishq hai mujhe, gar baatna chahun toh yun mehsoos hota hai maano jaise mohabbat se fareb ho
Henna Sohail
Matlab mere saath rehne sey acha tumari jaan hi chali jati, Zoya mujhe laga tum, infact mujhe yakeen tha ke tum.. nai lekin mujhe.. shit mein kitni bari ghalat fehmi mein tha. Tum sahi kah rahi thi, Arshad bhi sahi kah raha tha. Zoya, mein stalker nai hon. Mein ne uss din kaha tha na ke pyar mein zor hai zabardasti nai, mein tume pareshan kese kar sakta hon. Zoya mein sirf tume khush dehkna chata hon. Wada karu tum khush raho gi.
Aditya Mukherjeeya Hooda
Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhko pana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhe ye samjhana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhe ye batana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Bada hu pagal mein tera dewana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Sabko chod kar bas tujhe hai apnana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Rakh du kadmo mein tere sara ye zamana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Bada hoga mushkil tere bina jee pana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Kahin duniya bhula na de hamare pyaar ka ye afsana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Har dard ko bhool bas tujhse hai rishta nibhana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Teri har shikayat aur gum ko hai mujhe mitana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Kabhi kabhi mujhe lagta hai
Ratish Edwards
Kaash koi Kaash koi mujhe mere in andhero se bahar nikale, Haath pakde mera kuch der roshni me saath nibhale, Dar lagta aaj mujhe apni hi pechaan se, Kash koi mujhse meri hi pechaan chura le, Sahem jata hu mein aksar apni hi aawaj se, Kash koi mujhe apne aap se bacha le, Aaj har mehfil sunsaan hai, har rang berang hai Kash koi aa k mujhe apne rang me mila le, Kaash koi mujhe mere in andhero se bahar nikale, haath pakde mera kuch der roshni me saath nibhale,
Ratish Edwards
घनश्याम दोनों शाम को 6 बजे से लेकर रात्रि 12 बजे तक
Nishant Jain (MUJHE BANANAA HAI UPSC TOPPER (Hindi Edition))
Baith jata hu mitti pe aksar, Kyonki mujhe apni aukat achi lagti hai.
हरिवंश राय बच्चन
Yaaro mujhey muaaf rakho main nashey mein hoon Ab do to jaam khaali hee do main nashey mein hoon Masti sey barhamee hai meree guftagoo key beech Jo chaaho tum bhee mujh ko kaho main nashey mein hoon. Maazur hoon, jo paaon mera betarah padey Tum sargiraan to mujh sey na ho main nashey mein hoon. Bhaagee namaaz-e-jumma to jaatee nahee hai kuchh Chalta hoon main bhee, tuk to raho main nashey mein hoon Naazuk mizaaj aap qayaamat hain Meer jee Joon sheesha merey munh na lago main nashey mein hoon
Khushwant Singh (Celebrating the Best of Urdu Poetry)
[9:50 PM, 7/6/2019] Vinay Dr Jio: Nic...mam [12:09 AM, 7/7/2019] drmonikasharmavet: ए झूठ, तुझ से सच बोलने को जी करता है। कि छोटे-छोटे झूठों से ही जीवन महकता है॥ खूबसूरती का झूठ सुन लड़की शरमाती है। जवानी का झूठ सुन औरत मुस्काती है ॥ सक्षमता का झूठ सुन आदमी इतराता है । ताकत का झूठ सुन बच्चा ज़मीन से उठ जाता है॥ प्यार का झूठ बोल के जीवन चल जाता है । इस तरह ए झूठ तुझ से बड़ा पुराना नाता है ॥
Monika Sharma (kuch kehna hai mujhe)
Mere Prabhu, Mujhe itni unchai kabhi mat dena, Gairon ko gale na laga sakoo, Itni rukhai mat dena. [My Lord, Never let me climb so high that I can’t bend down to embrace another human, Deliver me from such arrogance.]
Kingshuk Nag (Atal Bihari Vajpayee: A Man for All Seasons)
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)
Tum Ek Aaas thi Tum Ek Ahsaas thi Har Chhaatra ke dil me chuppa hai jo | Tum wo kaash thi Aaj bhi yaad hai wo din mujhe jab hab rubaru huye thee uss paar jab milenge kabhi tab bataunga mere liye tum kitni khass thi
Ankit Yadav
Waqt Ne Dikhaya Mujhe , Doston Ne Naam De Bethe, Hum Toh Gawar The Janab Jo Usse Dosti Kar Bethe. Uska Kya Usne Dosti Todi, Or Hum Dil Tod Bethe..
M.D Taufik