Mil Gaya Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Mil Gaya. Here they are! All 3 of them:

Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha uss ka?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.
Umera Ahmed
Engkau boleh saja membual tentang kaki telanjangmu Yang telah menempuh jutaan mil. Gaya kupu-kupu mu yang mengarungi laut penuh hiu, Atau kebolehanmu memanjat tebing-tebing terjal Dengan sepotong tali terikat di pinggangmu. Namun jika kau tak pernah menjelajah ke dalam batinmu sendiri, Engkau bagaikan tak pernah pergi ke mana pun.
Desi Anwar (Romantic Journey: Notebook of a Traveller)
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)