Bojh Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Bojh. Here they are! All 3 of them:

Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.
Umera Ahmed
Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
Janid Kashmiri
Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhaari baatein sune, Khud ko aisa banao, Shayd tumse milkar kisi ke dil ka Bojh halka ho jaye.... Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhaare aansoo poche, Khud ko aisa banao, Shayd tumse milkar koi ghut ghut kar marne se bach jaaye.... Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhe har duaa me yaad kre, Khud ko aisa banao, Shayd tumse milkar kisi ki duaa Mukammal ho jaye.... Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhaare saath har pal Khada rhe, Khud ko aisa banao, Shayd tumse milkar kisi ki Haari hui zindagi me fir ek Ummeed bhar jaaye.... Talaash na kro kisi Achhe insaan ki, Khud ko aisa banao, Shayd tumse milkar, Kisi ki talaash poori ho jaye...... Continued *- - - - - - - - - - - - - - - - - - - -* Aamir Sarfraz
Aamir Sarfraz