Zindagi Ka Safar Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Zindagi Ka Safar. Here they are! All 4 of them:

Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai.. Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai... Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa.. Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai... Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath.. Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai... Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ... mujhe ek bhi nai mila, lagta hai nasamajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai... Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Mehram.. Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai... Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe.. Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai... Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri.. Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai.. Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar... Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai... Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...
Jasz Gill
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar, Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise
Faiz Anwar
Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
Janid Kashmiri
Dua" Yeh jo rahein tumne li hain Hum duago hain yeh sab hamwaar hon Khawab jo tumne sanware the dil mein Woh haqeeqat ki soorat namoodar hon Har qadam par mile tumko kamiyabi Zindagi mein khushi ke hazaron bahar hon Har museebat se tumko bachaye Khuda Saya-e-Rehmat tum pe hamesha barqarar hon Aaney walay dino mein ho roshan safar Tumhare liye khushi ke ambaar hon Yeh jo ilm ka khazana tumne paya hai Iski roshni tumhare gird hisaar ho Tum jahan bhi jao, roshni ho har qadam Andheron se tumhara koi wasita na ho Mohabbat ki khushboo tumhare sang chale Har dil mein tumhare liye pyar ho Gham ke saaye kabhi tum par na aayein Tumhari zindagi hamesha khushgawar ho Humari duaein hain, har pal tumhare saath Tumhari har dua bhi qubool o aashkaar ho
Janid Kashmiri