Zindagi Aur Waqt Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Zindagi Aur Waqt. Here they are! All 4 of them:

Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota.. khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain.. Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai... Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.
Umera Ahmed
I love you, I love you very very much naina mein aankhein band karti hun to tumhain dekhti hun aankhe kholti hun to tumhain dekhna chahti hun tum paas nahi hote to tumhain chaarun taraf mehsoos karti hun har pal har ghadi har waqt merre naina tumhi ko doondate hain isse pyar kaho paagalpan ya mere dil ki dhadkan mere liye ek hi baat hai pyar to bahut log karte hain lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta kyonki kisi ke paas tum jo nahi ho mein tumhain bhool nahi sakti mein tumhain bhoolna hi nahi chahti tum mere ho, mein tumhain zindagi bhar pyar karungi marte dam tak pyar karungi aur us k baad bhi...
Aliya Qadir
Zindagi ki train per sawaar, hawa k woh zor se jhonkon se urne wali zulfon ne kuch rukh badalti hue raston ki yaad dilaye; asman to aik he tha lekin badalte hue rung aur yadain. Woh radio per lgi hui dhun aur train k chalne ki awaz kuch mukhtalif theen lekin unka aik sa he taluq mehsos hua. Kahan zindagi ruk si gyee thi; tham sa gya tha karwan; thehar se gye the kam;chalti rhi hawa; khilte rahe phool. Ehsas hua k zindagi to mukhtasir he rahi hamesha; farq itna hai k masroofiat ne kabhi yeh mehsoos krne ka waqt he nahi dya. Kya waqt ka paheya yun ghooma k dunya ruk si gyi aur zameen-o-asmaan ne sans lena shuru kardya jo shayad kaheen ruk sa gya tha. Kaheen woh taluq aur rabta thehar sa gya; woh zindagi ki tez raftar kaheen halki hote hue mehsoos hone lgi; kuch muktalif sa lgne lga waqt shayad kaheen woh tez hawa jo andhi k manind thi woh ub tham si gyi thi. zindagi ne naya rukh le lya; aur insan heraan hogye.
Sheikh fatyma
Tu vahan, aur mein yahan, Beet Gaya ye waqt , na Jane kaise Kahan, Milo ki hai ye dooriyan, baato mein hai mazbooriyan, Sapno k peeche ki ye daud, Bante toot-te Rishtey har ek mode, Zindagi se Tej bhaagte, Kambhakt waqt ki ye pair, Na Jane kab ye rukega, kismat ka hamse ye bair, Aa ab Laut chale hum, jahan se hum tum they aaye, Chod ye naye anjaane rishtey, Chal dohrayen Apne bachpan k kissey, Tu vahan, aur mein yahan, Beet Gaya ye waqt , na Jane kaise Kahan
Ratish Edwards