Zaroorat Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Zaroorat. Here they are! All 6 of them:

β€œ
han dil udaas ha magar ab na teri koi aas ha zamana chora tujhay apna banaya tu ne hamein thukraya zamana apnaya ab jab zaroorat hay mujhay zamany ki tujhay b nahi koi zarorat ab laut any ki teri in adaaon ko jan gya mein yeh wohi adat purani c masoom dilon say khelna han yeh wohi kahani c rabba tu dikha dena issy bhala rasta kahin na le bethy baduwa kisi tootay dil say ye larki jan k jo bani anjani c.........xx
”
”
aar kay
β€œ
Roohon ke hai yeh rishte, Zaroorat, majboori, sahoolat se pare, Bandish nahi phir bhi farrar nahi, Kuch aise yeh saath hai
”
”
Henna Sohail
β€œ
Aadat, zaroorat aur chahat mein bas mahobbat ka farq hota hai
”
”
Mehnaz Ansari
β€œ
Santa Singh sent his bio data to America to apply for a post in Microsoft. A few days later he got this reply:- Dear Mr. Singh, You do not meet our requirements. Please do not send any further correspondence. No phone call shall be entertained. Thanks Santa singh jumped with joy on receiving this reply. He arranged a party and when all the guests had come, he said Bhaiyon aur Behno,aap ko jaan kar khushi hogee ki mujhay america mein naukri mil gayee hai." Everyone was delighted. Santa singh continued Ab main aap sab ko apnaa appointment letter padkar sunaongaa par letter english main hai isliyen saath-saath hindi main translate bhee kartaa jaongaa. Dear Mr. Singh-----pyare singh sahab You do not meet----aap to miltay hee naheen ho our requirement----humko to zaroorat hai Please do not send any furthur correspondance----ab letter vetter bhejnay kee zaroorat nahee hai. No phone call ----phone vone kee bhee zaroorat nahee hai shall be entertained----bahut khaatir kee jayegi. Thanks----aapkaa bahut bahut shukriya
”
”
Sunny Kodwani (Jokes and SMS (Hindi) - New)
β€œ
Kaisy kahoon ke mery liay kya ho tum? Khwahish hoty tu mit jaty, Zaroorat hoty tu poori ho jaty, Aadat hoty tu badal jaty, Majboori hoty, khatam ho jaty, Waqt hoty ager tu guzar jaty, Jo nishan hoty, kahin tu mil jaty. Tu kya ho, aakhir ho kya tum? Saasain kahoon, khwaab kahoon, Faasla kahoon ke sairaab kahoon? Khushi kahoon, gham kahoon, Apna kal kahoon ya haal hoon? Umeed kahoon, ehsaas kahoon, Tumhain jeet kahoon ke haar kahoon? Sakoon kahoon, afat kahoon, Masti kahoon ya firaak kahoon? Sooraj kahoon, parinda kahoon, Hoor kahoon ke khaak kahoon? Khudai kahoon, Khuda kahoon, Apni khudi kahoon ya alfaaz kahoon? Ke jo kahoon, kam hi kam hi kahoon, Keh ke bhi kuch na khas kahoon!! Phir kaisy kahoon ke mery liay kya ho tum? Haan, yeh sab tu nhi ho tum. Par meray liay tu mery sab ho tum. Meray tab ho tum, Meray ab ho tum. Kya keh doon ke meray rab ho tum? Meray kufriya sawaalon ka jawab ho tum. Tu tum ho, ke nahi ho tum?
”
”
Huseyn Raza
β€œ
And Papa will say β€œ Kahin jane ki zaroorat nahin hai, ghar pe baitho . There is no need to go anywhere, sit at home.”’ For a while she keeps thinking about how to get out of her house with friends, but then she gives up the fight to go out and becomes good. Her parents are relieved. Gradually hiding becomes a habit. Invisibility becomes safe. A habit.
”
”
Deepa Narayan (Chup: Breaking the Silence About India’s Women)