Ye Duniya Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Ye Duniya. Here they are! All 5 of them:

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.. Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.. Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa.. kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.. ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa.. ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa ....
Ahmad Faraz
Kabhi Kuch To Kisi Ke Waaste Dil Se Dua Kar Lo, Yahi Insaaniyat Ka Farz Hai, Tum Bhi Ada Kar Lo, Koi Bhi Shakhs Duniya Mein Tumhein Chhota Nazar Na Aaye, Tum Apne Sochne Ka Daayra Itna Bada Kar Lo, Hamari Apni Fitrat Hai Wafa Karna, Wafa Kar Lo, Tumhari Apni Marzi Hai Wafa Karo, Ya Jafa Kar Lo, Ye Duniya Khubsoorat Hai Yaqeen Aa Jaayega Tumko, Kisi Se Dil Lagaane Ki Kabhi Koi Khata Kar Lo.
Galib Shayari
Ye Chand Yahaan kuch chattanon se fisal raha hai... Sayad tumhare yaha kisi daal se jhool raha hoga. Chalo kuch to hai Jise hum dekh lete hain ek sath jaise ek laltain ko dekh kar Kayi Khaidi guzar dete hain sari raat..... Kayi Jailon me bati hai duniya Har jail me khaid hai insaan sab jail me hi to hain koi chote jail me to koi bade...
Saket Assertive
Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhko pana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhe ye samjhana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhe ye batana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Bada hu pagal mein tera dewana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Sabko chod kar bas tujhe hai apnana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Rakh du kadmo mein tere sara ye zamana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Bada hoga mushkil tere bina jee pana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Kahin duniya bhula na de hamare pyaar ka ye afsana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Har dard ko bhool bas tujhse hai rishta nibhana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Teri har shikayat aur gum ko hai mujhe mitana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Kabhi kabhi mujhe lagta hai
Ratish Edwards
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
Ratish Edwards