Yaqeen Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Yaqeen. Here they are! All 6 of them:

β€œ
Shaq pe hai yaqeen unko, Yaqeen pe hai shaq Mujhy..... .....Kis ka jhoot jhoot hai, Kis ke sach main sach nahi, Hai ke hai nahi, Bas yehi sawaal hai, Aur sawaal ka jawaab bhi, Sawaal hai..... .....Dil ki gar sunoon to hai, Dimaag ki to hai nahi, Jaan loon ke jaan doon, Main rahoon ke main nahi!!
”
”
Vishal Bharadwaj - Haider Film
β€œ
Kabhi Kuch To Kisi Ke Waaste Dil Se Dua Kar Lo, Yahi Insaaniyat Ka Farz Hai, Tum Bhi Ada Kar Lo, Koi Bhi Shakhs Duniya Mein Tumhein Chhota Nazar Na Aaye, Tum Apne Sochne Ka Daayra Itna Bada Kar Lo, Hamari Apni Fitrat Hai Wafa Karna, Wafa Kar Lo, Tumhari Apni Marzi Hai Wafa Karo, Ya Jafa Kar Lo, Ye Duniya Khubsoorat Hai Yaqeen Aa Jaayega Tumko, Kisi Se Dil Lagaane Ki Kabhi Koi Khata Kar Lo.
”
”
Galib Shayari
β€œ
Mohabbat goliyon se bo rahe ho Watan ka chehra khoon se dho rahe ho Gumaan tum ko ke rasta katt raha hai Yaqeen mujhko ke manzil kho rahe ho
”
”
Arundhati Roy (Ministry of Utmost Happiness)
β€œ
Jalib on the army crackdown in East Pakistan: Mohabbat goliyon se bo rahe ho, Watan ka chehra khoon se dho rahe ho Gumaan tumko ke raasta kat raha hei, Yaqeen mujhko ke manzil kho rahe ho.
”
”
Tilak Devasher (Pakistan: Courting the Abyss)
β€œ
TUJHE WAPIS MEIN LAUN KAISE... Tere bin jeena is dil ko sikhaun kaise, Hoon dil shikasta, tujhe wapis mein laun kaise, Tujhe yaad kar k jo girtay hein aansu mere, Dunya walon se unko chhupaun kaise, Baad tere jo kuch bhi hai beeta mujh par, Dastaan wo mein tujh ko sunaun kaise, Wo jo soya tu us din to na utha kabhi, Raha sochta mein k tujh jo jagaun kaise, Poochtay hein yeh jo mujh se k tu kaisa tha, Teri azmat ka inko bataun kaise, Tujhe bichhray ik arsa ab hone ko hai, Magar is dil ko yeh yaqeen mein dilaun kaise, Chehray ki is hansi pe na jao yaaron, Tum ko dil k zakham mein dikhaun kaise, Tere hone se hi hansta tha yeh dil saadi, Hoon pareshan ab isko hansaun kaise…!
”
”
Saad Salman
β€œ
Tumhare bina zindagi" Main tumhare sath hamesha hoon, bas ye baat samajh lo Meri mohabbat sacchi hai, is ko apna yaqeen maan lo Tumhare bina zindagi, bas ek khaali kitaab hai Meri har saans tumhare naam, is ko apna khwab maan lo Ye jo shak ke saaye hain, inhein tum door kar do Meri wafa ko samjho, meri jaan, is ko apna haq maan lo Main jo toota hoon, ye tumhare gham mein hai Meri mohabbat ki shiddat, is ko apni aas maan lo Tum se bicharna, ye mera naseeb nahi ho sakta Meri jaan, mere dil ki baat sun lo, mujhe apna naseeb maan lo Jo dard tumhare dil mein hai, wo mere dil mein hai Meri mohabbat ki gawahi, is ko apna sukoon maan lo Main tumhara tha, tumhara hoon, aur tumhara rahoonga Meri jaan, is haqeeqat ko apne dil mein amanat maan lo Ab jo dil mein basa hai, wahi rahega hamesha Mere ishq ki shiddat, is ko apni jaan ka hissa maan lo Shaista, meri pyari Shaista, bas itni si guzarish hai Meri jaan, mujhe apna samajh lo, aur kabhi chhod ke mat jao
”
”
Janid Kashmiri