Raaz Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Raaz. Here they are! All 7 of them:

THERE IS A PROFIT IN DARKNESS THEY HATE TO SEE THE SUN RISE ANDHERE MEIN MUNAAFA ZIYAADA HAI RAAZ NARAAZ HAIN SAB, KYUN SAHAR HO RAHI HAI अंधेरे में मुनाफ़ा ज़ियादा है राज़ नाराज़ हैं सब क्यूं सहर हो रही है
Vineet Raj Kapoor
Fareb-e-nazar hai sakoon-o-sabaat Tarapta hai har zarra-e-qayanaat Thehrata Nahin Karwaan-E-Wajood Ke Har Lehza Hai Taza Shaan E Wajood Samjhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi Faqat Zauq-E-Parwaaz Hai Zindagi Allama Iqbal Steadiness is a deception from our eyes, Every particle in this universe pulsates with a revolution. Caravan of the existence does not rest, Every moment life renews itself. You might think life is a mystery, Whereas life is merely a flight of desires. *Translation by Jasz Gill
Allama Iqbal (Saqi-Nama: Book of the Winebringer)
zabaan o dahan se jo khulte nahii.n hai.n vo khul jaate hai.n raaz aksar nazar se Eyes often disclose those secrets which the mouth and tongue so firmly secure.
amn lakhnavi
Maa, wo raaz-e-zindagi hai jo har lafz mein chhupa hai, jaise ke koh-e-qafas ki gehraaiyon mein. Uski muskurahat se noor barasta hai, jaise ke mausam-e-bahar mein phoolon ki khushboo. Uske pyaar mein jazbaat ki lehar chhupi hai, jo samandar ki gehraaiyon ko chhoo leti hai. Maa, har lafz uski ek dua hai, har nazar uski ek ibadat. Uski mohabbat mein rehmat chhupi hai, jise paak hawaon mein mehsoos kiya ja sakta hai. Uski azmat un pahaaron se bhi ooncha hai, jo aasman ki bulandiyon ko chhoo leti hain.
Huzefa Nalkheda wala
RAAZ ZINDAGI ITNI AASAAN BHI NAHIN JITNAA TUU AARAAM KIYA KARTA HAI राज़ ज़िन्दगी इतनी आसां भी नहीं जितना तू आराम किया करता है RAAZ LIFE IS NOT AS EASY AS YOU THINK I SHUDDER AT HOW MUCH YOU RELAX
Vineet Raj Kapoor
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
Ratish Edwards
KASHISH Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye
Janid Kashmiri