Pata Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Pata Hai. Here they are! All 5 of them:

Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.
Umera Ahmed
Bank ek Jagannath ka rath hai; sab employees haath laga kar khade hai, chala kaun raha hai pata nahi.
Ashneer Grover (Doglapan: The Hard Truth about Life and Start-Ups)
Nanak dukhiya sab sansaar! This whole world is ridden with Sorrow. Stop comparing as we all have a fucked up life, family and job! No matter what others show and potray! ;) "Jhaak ke dekhoge (I mean kareeb se) toh pata chalega ki saamne waale ke toh zyaada phate hai" hahahahahaha
honeya
Jab Uska Janam Hota Hai Or Wo Is Duniyaa Me Aata Hai Ye Soch Kr Ki Bhaher Ki Duniyaa Bhut Khubsurat Hai Or Sidhe Apni Maa Ke Haatho Me Aaa Jata Hai Use Itna Pyaar Milta Hai Ki Uski Ankhe Bher Aati Hai Apne Maa Ko Itna Khush Dekh Kr Use Ehsaas Hota Hai yahi Hai Jisne Mujhe Itne Saalo Se Apne Sheene Se Laga Kr Rakhaa Hai Or Uske Liye Wo Duniyaa Ki sabsee Anmol Cheez Hai Use Nhi Pata Ki Wo Kon Hai Bs Ak Ehsaas Hai Jo Use Us Se Jodta Hai Poori Duniyaa Me Use Khuch Dhikhta Hi Nhi Jese Wo Apni Aankhe Band Kr Ke Apne Ehsaas Ke Sath Judaa Ho Or Us Ehsaas Se Kabhi Alag Nhi Hota Chahta.
Ashutosh Chaudhary
Dard baantne se Kam hota hai, jitna baanto utna kum. Par hamesha aisa nahi hota, kabhi kabhi dard ho hota hai par zubaan se bahar nahi aa pata, kyunki hamara dard hume sambhalta hai, sikhata hai. Iss tarah k dard ko likh dena chahiye, ye vo dard hai vo sirf likh k kum hota hai.
Ratish Edwards