Mohabbat Kya Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Mohabbat Kya Hai. Here they are! All 4 of them:

Samundhar se pooch raha hoon uski dayar kya hai... Jaise aashiq khuda se pooche khumaar-e eshgh ki wajah kya hai... Mudda ek kaash se lekar doosre kaash tak ka hi toh hai.. Toh kabhi zahir kar mijaaz main teri raza kya hai...
Jasz Gill
WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SAB…. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
Renu Maurya
Ab wafa se mukar gaya hai dil, Ab mohabbat se dar gaya hai dil, Ab saharon ki baat mat karna, Ab dilason se bhar gaya hai dil, Jab bulate the zinda dil the hum, Ab na aao ke marr gaya hai dil, Kya bhala dhundhate ho seene me, Jaan se bhi guzar gaya hain dil, Ab wo pagalpan h na wo wehshat h Chot kha kar sudhar gaya hain dil
Sailesh
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par? Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
Asadullah Khan Ghilib