Mil Jana Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Mil Jana. Here they are! All 2 of them:

Gazal of Janid Kashmiri {NAHI HAI GHAM SIRF TUM KO } Nahi hai gham sirf tum ko, Mujhe bhi gham hai bohot jana, Ye zindagi ki raahon mein, Hai humne dukh se bhi takrana. Tumhare aansoon hain qeemti, Mere bhi dard hain kahin chhupay, Par humko mil kar chalna hai, Har mushkil se humko ladna hai. Raat ke andheron se darte nahi, Subah ki roshni ko paana hai, Dil mein umeedon ka chirag jalao, Har rukh ko roshan kar dena hai. Ghamon ki baarishon mein bhi, Sang rahe humara pyaar, Ek doosre ka saath denge, Mushkil ghadiyon ko aasan karenge. Tum ho meri zindagi ka rang, Meri khushi, meri duniya ho, Mushkil raahon pe chal kar bhi, Har manzil tumse hi roshan ho. To chalo saath hum mil kar, Har gham ko hum saath sahenge, Mere haath mein tumhara haath ho, Har dukh ko hum khushiyon mein badal denge.
Janid Kashmiri
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)