Kya Zindagi Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Kya Zindagi Hai. Here they are! All 6 of them:

Zindagi hi gir gayi hai. Hamare girne se kya farakh pad le ga.
Aaqhil Ahamed
WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SAB…. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
Renu Maurya
MAR MAR KE JE RAHA HUN Je je ke mar raha hun, Mar mar ke je raha hun, Dil ka haal ye hai, bas Jise zehar pi raha hun. Khud se hi bair hai ab, Duniya se kya gila hai, Jashn-e-gham manata Aansu mein pi raha hun. Uljhnein meri saheli, Aansu mere saathi hai, Pal pal bikhar ke janid, Apni zindagi ji raha hun.
Janid Kashmiri
Furrhat-e-baal pur sakoon lamhaat-e-zindagi hain, kyunkay yeh chhoti si zindagi badi 'aarizi hai. Khushi ke latif palon ko saraahnaa chaahiye, na ke rukawat daalni chaahiye. Aap doosmron ke liye hasad aur shauq paidaa karne ki bajaye, unki taraab-e-dil se lutf uthaayein. Kyunke aap nahin jaante kal kya musibat hogi. 'Ishrat kaa mazaa lijiye aur jazbaat ki mehfilon mein kho jaayiye. Yeh masarrat kaa 'aalam bahut hi 'aarizi aur zawaal pazir hai.
Huzefa Nalkheda wala
Zindagi ki train per sawaar, hawa k woh zor se jhonkon se urne wali zulfon ne kuch rukh badalti hue raston ki yaad dilaye; asman to aik he tha lekin badalte hue rung aur yadain. Woh radio per lgi hui dhun aur train k chalne ki awaz kuch mukhtalif theen lekin unka aik sa he taluq mehsos hua. Kahan zindagi ruk si gyee thi; tham sa gya tha karwan; thehar se gye the kam;chalti rhi hawa; khilte rahe phool. Ehsas hua k zindagi to mukhtasir he rahi hamesha; farq itna hai k masroofiat ne kabhi yeh mehsoos krne ka waqt he nahi dya. Kya waqt ka paheya yun ghooma k dunya ruk si gyi aur zameen-o-asmaan ne sans lena shuru kardya jo shayad kaheen ruk sa gya tha. Kaheen woh taluq aur rabta thehar sa gya; woh zindagi ki tez raftar kaheen halki hote hue mehsoos hone lgi; kuch muktalif sa lgne lga waqt shayad kaheen woh tez hawa jo andhi k manind thi woh ub tham si gyi thi. zindagi ne naya rukh le lya; aur insan heraan hogye.
Sheikh fatyma
Hum ne eik doosare ko ghum ki gahrayon mein dehka hai, aur uss ghum sey hum eik doosare ka haath pakar ke uthe haan. Humari zindagi humari kismat, humari rooh na jaane kaab sey mil chuki hai, ab kya hi alag hon ge hum.
Ishita Moitra Prakriti Mukherjee Ishaan Bajpayee