Kya Baat Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Kya Baat Hai. Here they are! All 4 of them:

Tum daulat ki Kya baat karte ho Maine gareeb ko aksar pur sukoon dekha hai
Mehnaz Ansari (A Study of Personality Characteristics and Values of Secondary School Teachers in Relation to their Classroom Performance and Students' Likings)
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai The desire for revolution is in our hearts Let us see what strength there is in the arms of our executioner O nation, why no one else says anything? Everyone I see in this party has their lips sealed… O martyr of country, of nation, I bow to thee As even the enemy now speaks of thy courage The desire for revolution is in our hearts… We shall show thee when the time comes, O heaven For why should we speak now of what lurks in our hearts? The hope of blood and sacrifice, binds us all and brings us here The streets of the enemy now overflows with the lovers of the nation The desire for revolution is in our hearts…)
bismil azimabadi
Ab wafa se mukar gaya hai dil, Ab mohabbat se dar gaya hai dil, Ab saharon ki baat mat karna, Ab dilason se bhar gaya hai dil, Jab bulate the zinda dil the hum, Ab na aao ke marr gaya hai dil, Kya bhala dhundhate ho seene me, Jaan se bhi guzar gaya hain dil, Ab wo pagalpan h na wo wehshat h Chot kha kar sudhar gaya hain dil
Sailesh
Qatil hun main khud jazbaat ka meray” Qatil hun main khud jazbaat ka meray, Har din karta hun qatl apni baat ka meray. Jo dil ke kone mein chhupa dukh tha, Aaj ban gaya hai shor hayaat ka meray. Meri har khushi ko main khud mitata raha, Qareeb na aaya koi bhi saath ka meray. Mohabbat ka diya khud hi bujhaya maine, Kya gila karun ab kisi firaaq ka meray? Har dafa main khud hi chor ban jata hun, Shikayat kaisi ho kisi ilzaam ka meray? Qatil hun main khud jazbaat ka meray, Har din karta hun qatl apni baat ka meray.
Janid Kashmiri