Kuch Kuch Hota Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Kuch Kuch Hota Hai. Here they are! All 9 of them:

Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha uss ka?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.
Umera Ahmed
TUM RUK KE NAHI MILTE, HUM JHUK KE NAHI MILTE, MAALUM YEH HOTA HAI, KUCH TUM BHI HO KUCH HUM BHI.
Shamim Karhani
Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.
Umera Ahmed
Pyaar-Vyaar karke kuch nahi hota. Jo hota hai wo Hawas hai aur kuch nahi.
SuperAditya
Kuch to koosur logo ka bhi hota hai.. Har bar koosur kismat ka nahi hota...
Vandana Pradhan
Kuch rishton ka aaj bhi NAAM nahi hota.. Kuch jo saalo pehle baney ho, ya kuch jo shaayad roz bante hai.. Lekin bohot gehere...
honeya
Arrange marriage main Love shaadi ke baad shuru hota hai Aur Love marriage main shaadi ke baad khatam... Haha Aur kuch saalo baad no matter Arrange tha ya Love Marriage.. Pyaar nahi bach Paata haha
honeya
Pyaar-Vyaar karke kuch nahi hota. Jo hota hai wo bas Hawas hai aur kuch nahi.
Aditya Sharma
Sometime it's so hard to act strong , Iss dil ko bhi behlaana padta hai na, Chahe vo khud se khud ki baatein ho ya kisi ke yaadein , Phir se sawal yahi , Kya Ek aur saal barbaad kr diya , That's what I'm thinking tonight Unlike last year Ab toh khud se guftgu krne mein Dar sa lgta hai , Kahi un unjalon ko pta na lg jae , Ki Ye andhere se drta hai , Drta hai apni baatein kehne mein, Drta hai khawab bunnay mein , Drta hai umdein lgaane se, Hn kyu na daru jab log mein se mera me farq khoj lete hai, Yahan toh kamiyon ka pahaad hai , Jiske niche vo nadiyan meri maazi mera haal dikha rahi Anshu kyu na bahe jab glti bhi khud ki Kya he bolu! Mere lafzoon se kya he talaash karoge wazood mera , Mein itna likh nahi paata jita mehsoos krta hoon, Hn ab Ajib toh hu aaj bhi utna he aur wahi na thik se hsna aata, na rona na baatein krni aati ,na koi talent ,na sakal Bs hai kuch toh vo badi badi baatein Kitna bhi juth bol lu lekin sach yahi hai na ki mein khud se khud ko barbaad kr rha , Bahut kuch socha tha krne ko ,Ab agle saal kiya jaega ! Kisi ke pass nargis -e- sahir ho toh batana , Dil laagne aur behlaane mein kitna farq hota hai , Kitna farq hota hai ankhein nam aur rone mein , Kitna farq hota hai pasand aur mohabbat mein , Kitn farq hota hai dil laagne mein aur behlaane mein, Kitna farq hota hai uss akhir aur pehle khat mein, Farq toh hoga , But In 2024, I realize that my mistakes are opportunities for growth.Acceptance helps me strengthen my friendships, and I want to sincerely apologize for any hurt I may have caused, Bss un chutiyon ke alwa kisi ko kya pta Love you mfs In the end kisi ye Mein aur meri khamoshi Likhu kitna bhi mn kahan bharne wala Aakhir mein jab umdein phir se khud se laagni hai
Aariv Pandey