Hum Hum Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Hum Hum Hai. Here they are! All 34 of them:

โ€œ
Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota.. khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain.. Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai... Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.
โ€
โ€
Umera Ahmed
โ€œ
TUM RUK KE NAHI MILTE, HUM JHUK KE NAHI MILTE, MAALUM YEH HOTA HAI, KUCH TUM BHI HO KUCH HUM BHI.
โ€
โ€
Shamim Karhani
โ€œ
Jo bhi hai wo thik hai....... Zikr kyun karen... Hum hi sab Jahaan ki........Fikr kyun karen.... Jab use hi gham nhi....kyun hame ho gham... Aasma pe hai khuda....aur zamin pe hum...
โ€
โ€
Sahir Ludhianvi
โ€œ
Ghar mein tha kya jo tera gham usay gharat karta? Woh jo hum rakhte the ik hasrat-e tamir, so hai." "What did we have at our home that your sorrow could wreck? All we had was a desire to create, and that is still there.
โ€
โ€
เค—เฅเคฒเฅ›เคพเคฐ (Mirza Ghalib)
โ€œ
Hum Sab Ko Mnate Hai, Lekin Humko Manne Wala Koi Na Raha, Dil Me Mere Etne Zakham Ho Gaye Ki Malham Lgane Wala Koi Na Raha,
โ€
โ€
Preet Dhiman
โ€œ
Anginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai Kaun kahta hai ki saadik na thay jazbey unkey? Lekin unke liye tash-heer ka saamaan nahin Kyunki woh log bhi apni hi tarah muflis thay . . . Yeh chamanzaar, yeh Jamuna ka kinaara, yeh mahal Yeh munak-kash daro-deewaar, yeh mehraab, yeh taak Ek shahenshah ne daulat ka sahaara lekar Hum gareebon ki mohabbat ka udaaya hai mazaak
โ€
โ€
Akshay Manwani (Sahir Ludhianvi - The People's Poet)
โ€œ
WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SABโ€ฆ. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
โ€
โ€
Renu Maurya
โ€œ
Baatein hain kuch jo ankahi reh gayi hain, Tumhari humari yaadon ki gehraiyon mein, Iss dil ki aarzoo abhi adhuri reh gayi hai, Rukna tum vahin jahan mila karte the hum, Kyunki raaste mein humari parchaiyaan reh gayi hain, Tumhare bina zindgi kaisi hogi kuch pta nahi, Abhi jeene mein kuch kamiyaan reh gayi hain!
โ€
โ€
Chitra Batra (Heartbreak In Progress)
โ€œ
Mohabbat sirf ek se kyun? Khuda to hum sab mein hai; Mohabbat khuda hai, Ye elaan har mazhab mein hai.
โ€
โ€
Tapan Ghosh (Faceless The Only Way Out)
โ€œ
Maana ke saare jahaan ko gulistaan nahi bana sakte hum, Lekin jidhar se guzre waha se kaante toh mita sakte hai hum.
โ€
โ€
Henna Sohail
โ€œ
To wives, girlfriends and all the women out there, stop blaming your man, he tries his best to not to slip but when Vishwamitra couldnt stop himself, hum toh aam log hai you see ;)
โ€
โ€
honeya
โ€œ
Thoda Rukh sakti ho? "Waqt nahi hai" "Hamse udhar lelo" "Chuka nahi paungi" "Fir kabhi chuka dena " "Kya hum phir milenge??" "Haan hum phir milenge' "Tab sab kuch kitna naya hoga na !" "Hum purane hi rahenge "Kyu" "Purana sawal jo puchna hoga " Konsa "Thoda Rukh sakti ho kya??
โ€
โ€
Aariv Pandey
โ€œ
Gazal of Janid Kashmiri {NAHI HAI GHAM SIRF TUM KO } Nahi hai gham sirf tum ko, Mujhe bhi gham hai bohot jana, Ye zindagi ki raahon mein, Hai humne dukh se bhi takrana. Tumhare aansoon hain qeemti, Mere bhi dard hain kahin chhupay, Par humko mil kar chalna hai, Har mushkil se humko ladna hai. Raat ke andheron se darte nahi, Subah ki roshni ko paana hai, Dil mein umeedon ka chirag jalao, Har rukh ko roshan kar dena hai. Ghamon ki baarishon mein bhi, Sang rahe humara pyaar, Ek doosre ka saath denge, Mushkil ghadiyon ko aasan karenge. Tum ho meri zindagi ka rang, Meri khushi, meri duniya ho, Mushkil raahon pe chal kar bhi, Har manzil tumse hi roshan ho. To chalo saath hum mil kar, Har gham ko hum saath sahenge, Mere haath mein tumhara haath ho, Har dukh ko hum khushiyon mein badal denge.
โ€
โ€
Janid Kashmiri
โ€œ
Zindagi aur maut uparwale ke haath hai, jahanpanah. Hum sab toh rangmanch ki kathputliyan hain jinki dor uparwale ki ungliyon main bandhi hai. Kab kaun kaise uthega yeh koi nahin bata sakta.
โ€
โ€
Anupama Chopra (100 Films to See before You Die)
โ€œ
Alfazon Me Wo Dam Kahan Jo Bayan kare Shakhsiyat Hamari, Rubaru Hona hai to Aghosh Me Aana Hoga, Yun Dekhne Bhar Se Nasha Nahi Hota Jaan Lo Shaaqi, Hum Ek Zaam Hain, Hamen Honthon se lagana Hogaโ€ฆ!!!!!! Hamari Aah se Paani me bhi Angare Dahak Jate hain, Hum se Mil Kar Murdon ke bhi Dil Dhadak Jate Hainโ€ฆ.. Gustakhi Mat Karna Hum se Dil Lagane ki Shaaqi, Hamari Nazron se Takra ke May ke Payale Chatakh Jate Hain !!!!!!!!
โ€
โ€
Vishal Singh
โ€œ
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par? Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
โ€
โ€
Asadullah Khan Ghilib
โ€œ
Tawaazo' ki haqeeqat sifaaki se mumataaz hai, iltifaat mahaz khaatir-khawaahi nahin, khaamoshi ghussay ki tarjumaani nahin, aur aansoo'on ka jharna kamzori ka nishaan nahin. Insaani jazbaat ki yeh naazuk pahlu hain. Aksar hum in ma'mooli si baaton ko ahmiyat nahin dete, jo baa'is hoti hain ke hamaari rooho ko bechaini aati hai. Haqeeqat mein in chhoti chhoti baaton ka idraak hi zindagi ke lateef pahluo'on ko samajhne ki kunji hai. Chunnanche hamen in sab par ghaur karna chahiye, taakih hum zindagi ke haqeeqi ma'ani samajh sakein. Insaaniyat ka sarmaya isi mein panhaan hai. Taakey hum qudrati rawayon ko bhi ghalat na samjhein aur doosron ke jazbaat ko thes na pohnchaayen.
โ€
โ€
Huzefa Nalkheda wala
โ€œ
Othe mera ghar Othe hi hai rab Othe meri jaan Othe vasse sab - Kiwen main kawaan Te Kawaan kinnu Ohio hai junoon Othe meri rooh -- โ€ƒ Jithe jithe, othe jithe Jithe jithe, othe jithe Jithe vee hai tu, ek tu Jithe jaaven tu, ek tu Jithe vee hain tu, ek tu Othe jithe tu, ek tu --- Na labban manzil Na hi koi raah Sunda te hovega Haiga je khuda - โ€ƒ Dilon je Mango Kehnde milju Kujh hor nai chahida mainnu - Khushi ohde Hathin Socheya ni kyu Labb leya bhaven Khoke khud nu -- Ohio hai ikko Othe mera sukoon Ohio hai junoon Othe meri rooh --- โ€ƒ Jithe jithe, othe jithe Jithe jithe, othe jithe Jithe vee hai tu, ek tu Jithe jaaven tu, ek tu Jithe vee hain tu, ek tu Othe jithe tu, ek tu
โ€
โ€
Vikrmn: CA Vikram Verma (Once Upon A Hum - Strings)
โ€œ
MARATHI VERSION - Tithe maza ghar Tithe aahe dev Tithe maza jeeve Tithe aahe sarv - Konala me saangu Kaase me saangu Tithe aahe itcha Titheย aaheย rooh -- Jithe jithe, othe jithe Jithe jithe, othe jithe Jithe vee hai tu, ek tu Jithe jaaven tu, ek tu Jithe vee hain tu, ek tu Othe jithe tu, ek tu ---
โ€
โ€
Vikrmn: CA Vikram Verma (Once Upon A Hum - Strings)
โ€œ
Dua" Yeh jo rahein tumne li hain Hum duago hain yeh sab hamwaar hon Khawab jo tumne sanware the dil mein Woh haqeeqat ki soorat namoodar hon Har qadam par mile tumko kamiyabi Zindagi mein khushi ke hazaron bahar hon Har museebat se tumko bachaye Khuda Saya-e-Rehmat tum pe hamesha barqarar hon Aaney walay dino mein ho roshan safar Tumhare liye khushi ke ambaar hon Yeh jo ilm ka khazana tumne paya hai Iski roshni tumhare gird hisaar ho Tum jahan bhi jao, roshni ho har qadam Andheron se tumhara koi wasita na ho Mohabbat ki khushboo tumhare sang chale Har dil mein tumhare liye pyar ho Gham ke saaye kabhi tum par na aayein Tumhari zindagi hamesha khushgawar ho Humari duaein hain, har pal tumhare saath Tumhari har dua bhi qubool o aashkaar ho
โ€
โ€
Janid Kashmiri
โ€œ
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai The desire for revolution is in our hearts Let us see what strength there is in the arms of our executioner O nation, why no one else says anything? Everyone I see in this party has their lips sealedโ€ฆ O martyr of country, of nation, I bow to thee As even the enemy now speaks of thy courage The desire for revolution is in our heartsโ€ฆ We shall show thee when the time comes, O heaven For why should we speak now of what lurks in our hearts? The hope of blood and sacrifice, binds us all and brings us here The streets of the enemy now overflows with the lovers of the nation The desire for revolution is in our heartsโ€ฆ)
โ€
โ€
bismil azimabadi
โ€œ
uff! dikhao. Shrutikitaab kheenchti hai. Hamara Pramanik Itihaas. Cover par ishtihaar ke taur par kavitanuma panktiyan hain. Yon: "Islam kee buniyaad pe yah desh Hindustaan mit raha hai. Aa hee jaayega ek din yahan Islam ka dastoor. Ho jaayenge ek din yahan se hindu Kafir kafoor Bandhuon chet jao."" "Bhari-poori Industry chal rahi hai." Shrutiab kitaab pakde hai. "Ekdum se to yeh Industry nahin ban gayee. Hum kahan the, jab yah ban rahee thee?"Hanif poochta hai. Uff, show... Shruti snatches the book: "Our Proven History." On the cover, by way of advertisement, are lines of a rhyme. "Foundation of Islam is wiping out Hindustan One day they will take over And Kafir Hindus thrown out Wake up Brothers" "This is a full-fledged industry," Shruti holds the book. " This industry did not come up just now. Where were we, when it was being put up?" Hanif asks.
โ€
โ€
Geetanjali Shree (เคนเคฎเคพเคฐเคพ เคถเคนเคฐ เค‰เคธ เคฌเคฐเคธ)
โ€œ
Jamโ€™a mein afraad-e aalam ek hain Gul ke sab auraaq-e barham ek hain Howe kab wahdat mein kasrat se khalal Jism-o jaan go do hain per hum ek hain Nau-e insaan ki buzurgi se tuk ek Hazarat-e Jibreel mahram ek hain Daal hai us per hi Qurโ€™an ka nuzool Baat ki fehmeed main hum ek hain Muttafiq aapas main hain ahl-e shuhood Dard aankhein dekh baaham ek hain
โ€
โ€
Anisur Rahman (Hazaron Khawaishen Aisi: The Wonderful World of Urdu Ghazals)
โ€œ
Madhosh hai hum to unke khyaalon mein, Hume ab hosh kaha hai
โ€
โ€
Komal Thukral (The Escapee Girl)
โ€œ
Hum ne eik doosare ko ghum ki gahrayon mein dehka hai, aur uss ghum sey hum eik doosare ka haath pakar ke uthe haan. Humari zindagi humari kismat, humari rooh na jaane kaab sey mil chuki hai, ab kya hi alag hon ge hum.
โ€
โ€
Ishita Moitra Prakriti Mukherjee Ishaan Bajpayee
โ€œ
Khuda dil ki awaz sunta hai muu ki nahi.
โ€
โ€
Musawir Lashary (Kash Hum Chakor Na Hoty)
โ€œ
Tu vahan, aur mein yahan, Beet Gaya ye waqt , na Jane kaise Kahan, Milo ki hai ye dooriyan, baato mein hai mazbooriyan, Sapno k peeche ki ye daud, Bante toot-te Rishtey har ek mode, Zindagi se Tej bhaagte, Kambhakt waqt ki ye pair, Na Jane kab ye rukega, kismat ka hamse ye bair, Aa ab Laut chale hum, jahan se hum tum they aaye, Chod ye naye anjaane rishtey, Chal dohrayen Apne bachpan k kissey, Tu vahan, aur mein yahan, Beet Gaya ye waqt , na Jane kaise Kahan
โ€
โ€
Ratish Edwards
โ€œ
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
โ€
โ€
Ratish Edwards
โ€œ
Ab ek raat agar kum jeeyein, toh kum hi sahi Yahi bahut hai ki hum mashaaley jala ke jeeye
โ€
โ€
Akshay Manwani (Sahir Ludhianvi - The People's Poet)
โ€œ
Ye Chand Yahaan kuch chattanon se fisal raha hai... Sayad tumhare yaha kisi daal se jhool raha hoga. Chalo kuch to hai Jise hum dekh lete hain ek sath jaise ek laltain ko dekh kar Kayi Khaidi guzar dete hain sari raat..... Kayi Jailon me bati hai duniya Har jail me khaid hai insaan sab jail me hi to hain koi chote jail me to koi bade...
โ€
โ€
Saket Assertive
โ€œ
Ab wafa se mukar gaya hai dil, Ab mohabbat se dar gaya hai dil, Ab saharon ki baat mat karna, Ab dilason se bhar gaya hai dil, Jab bulate the zinda dil the hum, Ab na aao ke marr gaya hai dil, Kya bhala dhundhate ho seene me, Jaan se bhi guzar gaya hain dil, Ab wo pagalpan h na wo wehshat h Chot kha kar sudhar gaya hain dil
โ€
โ€
Sailesh
โ€œ
GUZAR TA NAHI YE SHAAM-E-GHAM Guzar ta nahi ye shaam-e-gham Zindagi ke dukhon ka hai peham sitam Qadam qadam par thakan ka pehra Himaton ke chiragh bhi ho gaye madhham Musaafir hoon raahon ka jin ko khabar Manzilon ka saraab hai, dil ka maatam Khawab jo bune the, reza reza huye Haath khaali rahe, na raha koi dum Sawaal ye hai, aye falak-e-jafa Kitna aur sehna hai, bata ye sanam Guzar jaye ye shaam-e-gham kisi tarah Warna raah mein bikhar jayein hum
โ€
โ€
Janid Kashmiri
โ€œ
Social media ek trap hai jisme hum fus chuke hai.
โ€
โ€
Dr. Poison King
โ€œ
Social media ek trap hai jisme hum fus jhuke hai.
โ€
โ€
Dr poison king