Haqeeqat Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Haqeeqat. Here they are! All 12 of them:

Hamko ma’aloom hai jannat ki haqeeqat lekin Dil ki khush rakhne ko, ‘Ghalib’ yeh khayaal achcha hai
Neeraj Pandey (Ghalib Danger)
Once you have fallen off the edge like all of us have, including our Biroo,” Anjum said, “you will never stop falling. And as you fall you will hold on to other falling people. The sooner you understand that the better. This place where we live, where we have made our home, is the place of falling people. Here there is no haqeeqat. Arre, even we aren’t real. We don’t really exist.
Arundhati Roy (The Ministry of Utmost Happiness)
-جب تک باطن کی حقیقت معلوم نہ ہو جائے آدمی ظاہر سے جڑا رہتا ہے
Rashid Jorvee
Tawaazo' ki haqeeqat sifaaki se mumataaz hai, iltifaat mahaz khaatir-khawaahi nahin, khaamoshi ghussay ki tarjumaani nahin, aur aansoo'on ka jharna kamzori ka nishaan nahin. Insaani jazbaat ki yeh naazuk pahlu hain. Aksar hum in ma'mooli si baaton ko ahmiyat nahin dete, jo baa'is hoti hain ke hamaari rooho ko bechaini aati hai. Haqeeqat mein in chhoti chhoti baaton ka idraak hi zindagi ke lateef pahluo'on ko samajhne ki kunji hai. Chunnanche hamen in sab par ghaur karna chahiye, taakih hum zindagi ke haqeeqi ma'ani samajh sakein. Insaaniyat ka sarmaya isi mein panhaan hai. Taakey hum qudrati rawayon ko bhi ghalat na samjhein aur doosron ke jazbaat ko thes na pohnchaayen.
Huzefa Nalkheda wala
Har shakhs ke zakhm, uski mizaj aur mizaj par ek hi asar nahi daltay. Baaz ke liye, zakhm unhe mazboot bana deta hai, lekin baaz ke liye yeh unki nazukiyat ko aur zyada shakhsiyat deta hai. Yeh ghalatfehmi hai ke har zakhm aapko mazboot banata hai. Haqeeqat mein, asal taqat uss zakhm ko tasleem karne aur uss se ubharne mein hai, taake uss ke andar chhupi taqat ko pehchanein.
Huzefa Nalkheda wala
Dua" Yeh jo rahein tumne li hain Hum duago hain yeh sab hamwaar hon Khawab jo tumne sanware the dil mein Woh haqeeqat ki soorat namoodar hon Har qadam par mile tumko kamiyabi Zindagi mein khushi ke hazaron bahar hon Har museebat se tumko bachaye Khuda Saya-e-Rehmat tum pe hamesha barqarar hon Aaney walay dino mein ho roshan safar Tumhare liye khushi ke ambaar hon Yeh jo ilm ka khazana tumne paya hai Iski roshni tumhare gird hisaar ho Tum jahan bhi jao, roshni ho har qadam Andheron se tumhara koi wasita na ho Mohabbat ki khushboo tumhare sang chale Har dil mein tumhare liye pyar ho Gham ke saaye kabhi tum par na aayein Tumhari zindagi hamesha khushgawar ho Humari duaein hain, har pal tumhare saath Tumhari har dua bhi qubool o aashkaar ho
Janid Kashmiri
Tumhare bina zindagi" Main tumhare sath hamesha hoon, bas ye baat samajh lo Meri mohabbat sacchi hai, is ko apna yaqeen maan lo Tumhare bina zindagi, bas ek khaali kitaab hai Meri har saans tumhare naam, is ko apna khwab maan lo Ye jo shak ke saaye hain, inhein tum door kar do Meri wafa ko samjho, meri jaan, is ko apna haq maan lo Main jo toota hoon, ye tumhare gham mein hai Meri mohabbat ki shiddat, is ko apni aas maan lo Tum se bicharna, ye mera naseeb nahi ho sakta Meri jaan, mere dil ki baat sun lo, mujhe apna naseeb maan lo Jo dard tumhare dil mein hai, wo mere dil mein hai Meri mohabbat ki gawahi, is ko apna sukoon maan lo Main tumhara tha, tumhara hoon, aur tumhara rahoonga Meri jaan, is haqeeqat ko apne dil mein amanat maan lo Ab jo dil mein basa hai, wahi rahega hamesha Mere ishq ki shiddat, is ko apni jaan ka hissa maan lo Shaista, meri pyari Shaista, bas itni si guzarish hai Meri jaan, mujhe apna samajh lo, aur kabhi chhod ke mat jao
Janid Kashmiri
Woh hiqaayat se jab haqeeqat bane Main chahunga bas meri mohabbat bane..!
Prathmesh Yelne (The Dark Girl: A Mystery Novel)
Kis ki aawaaz kaan mein aaee Door ki baat dhyaan mein aaee Aap aate rahe bulaate rahe Aane waali ik aan mein aaee Ye kinaara chalaa ke naao chali Kahiye kya baat dhyaan mein aaee ‘Ilm kya ‘ilm ki haqeeqat kyaa Jaisi jis ke gumaan mein aaee Aankh neechi huee arey ye kyaa Yoon gharaz darmiyaan mein aaee Main payamber naheen Yagana sahi Is se kyaa kasr shaan mein aaee
Anisur Rahman (Hazaron Khawaishen Aisi: The Wonderful World of Urdu Ghazals)
Life does not owe you its justification; rather, you have given life the justification to exist. If no one notices you, love a plant. Nurture it, protect it from storms, protect it from wild creatures and birds, shield it from harsh sunlight, and safeguard it from excessive rainfall. Raise it, let butterflies perch on it. Even if someone else enjoys its fruits, it shouldn't be a cause for concern. Your efforts will never go in vain. You will be granted the justification and reward for staying alive. If nothing else can be done, polish a stone, nurture it, work hard on it, and it will become a mirror of stone. Inside the mirror, the justification of life will be inscribed.
Wasif Ali Wasif (The Truth Unveiled: Harf Harf Haqeeqat)
kya humaray mulk or humaray ma’shray mein taleemi or tehzeebi dunya is maqam par pohanch gai hey jahan aik naujwan ko aghaz-e-hayat hi mein haqeeqat aur afsanay k darmiyan imtiaz ka sha’ur mil jaa’y. Mera khyal hey abhi tak humara mahol haqeeqat nahi bal k afsanay hi ka pero hey…. khabar kya thi karoRon ka yehi anjam hona hey/ k is taleem ki takmeel hi nakaam hona hey
Hafeez Jalandhri
Takta Hoon Tum Ko Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon Tum chalti ho to hawa gungunane lagti hai Tum bolti ho to khamoshi bhi jagti hai Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye Har lamha teri qurbat ki dua kiye Magar tum door ho, yeh faasle kyun hain? Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain? Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein
Janid Kashmiri