Ajeeb Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Ajeeb. Here they are! All 6 of them:

β€œ
Kaisi Duniya Hai, Logon Ke Ajeeb-O-Gareeb Sawal Jawab Se Kitne Pareshaan Hain Aur, Ek Din Jab Allah Tallh Sawal Jawab Karega Tou Uski Fikr Hi Nahi. Ya Allah Khair.
”
”
Umera Ahmed (Shahr E Zaat/شہر Ψ°Ψ§Ψͺ)
β€œ
Aaj dil me ajeeb si bekhayali chayi hai, Tumhare deedar ki talab dil se jubaan tak aayi hai, Kaise samjhaun is nadan dil ko ki ye ab mumkin nahi, Unhe milne ki ijajat ab hame hasil nahi......
”
”
Subhendu Prasad Mishra
β€œ
Like dreams, poetry talks in symbols. It gives hints. It enters the subconscious mind and connects to a world layered with memories and emotional experiences. Between countries there is a no-man’s-land, and I think the same space exists between the conscious and the subconscious mind. Poetry grows there. And if those who listen to, or who read poetry are receptive, it reaches the no-man’s-land in their minds. There are some conscious reasons why a poem is appreciated, but there are certain reasons that are not so obvious. And you say quite helplessly, β€˜Is mein kuchh ajeeb baat hai’—there is some strange charm to it. That charm is because the poem has appealed to the subconscious mind and stirred dormant feelings, thoughts, and memories.
”
”
Javed Akhtar (Talking Films and Songs: Javed Akhtar in conversation with Nasreen Munni Kabir)
β€œ
Zindagi ka falsafa bhi kitna ajeeb Hai, Shaamein kat-ti nahi Aurr Saal Guzarte ja rahe Hain!
”
”
Piyush Mishra
β€œ
Kuch dhundhla sa yaad hai; kuch dhundhla sa he dekhti hun; woh sehmi si andheri raat, woh aik ajeeb si khamoshi aur phankay ki ahista se chalne wali bechain awaaz. Khirki per nazar pri to yun lga jese chand or sitaron ki lapait mein mehfooz hun mein; lekin achanak woh jo aik dastak hui aur dill ki dharakne ki raftar kuch tez maloom hui balkay khassi tez maloom hui ese jese kisi ne mun per hath rakh dya hou; tharthrahat aur ghabrahat k sath awaz halak se nikal rhi hai lekin koi sunne wala nahi ya awaz he nahi thi. woh khamosh si aah-o-pukaar, woh nazron ka gir jana, aur honton ka khushk hojana; woh jo yun mehsoos hua k shayad kisi ki mojoodgi ka najaiz ehsas hua, kisi ka hona na gawaar kya, na zeb lga; khassa haya ka daman chaar hou rha tha, kaheen badboo si mehsoos hui; shayad woh qatal-e-khass ho rha tha, khuda dekh raha tha; uski woh garam sansain aur meri khamosh siskyan; laal joray per kali siyaahi ka rung charh raha tha, woh jora mehaz aik hawa ka jhonka sa mehsoos hua jo tez andhi ki nazar hogya; woh kaheen mehfil-e-khass loot raha tha, mein usi mehfil mein khud ko zinda dargor ker rhi thi; aur kaheen chambeli ka phool murjha gya, baghbaan kahan tha? Koi to dastak thi jiske hone per yun lga, woh jo me mehfooz thi apne he ghar mein woh mehaz aik khayal tha; aik veham-o-ghuman tha; jo kaheen us raat k andhere mein dher hogya.
”
”
Sheikh fatyma
β€œ
Insaan Bhi Kitne Ajeeb Hotey Haan, Kabhi Khud Ko Dusro Mein Talaashtey Haan, Toh Kabhi Dusro Ko Khud Mein Talaashtey haan... Par Kabhi Khud Ko Khud Mein Nahi talaashtey.. Insaan Bhi Kitne Ajeeb Hotey Haan
”
”
Aamir Sarfraz