Ye Raat Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Ye Raat. Here they are! All 7 of them:

Ugta sooraj dhalti shaam din or raat ko ek hi janta h ye neet h sab bhut khuj mangta h
Abhimanyu Kumawat (JEET ki Ranneeti जीत की रणनीति by Dr. Abhimanyu Kumawat)
Teri in aankhon mein Teri in aankhon mein kuch alag baat hai, Ek an-kahi daastan, kuch anjaane jazbaat hai, Aaj dil mein tera pyaar, haaton mein tera haat hai, Tham jaaye ab ye waqt, bas itni si darkaar hai, In aakhon mein teri chehra, baaton mein teri hi baat hai, Kat jati hai yaadon k sahare, ab ye lambi kali raat hai, Ek aag si lagti hai, bekaraar ho jate jazbaat hai, Kar deta hai agar koi, tanhaaiyon mein teri baat hai, In saanso mein teri hi mehak, aakhon mein tera hi aks hai, Tuje soch soch kat jate, mere ab din aur raat hai, Teri in aankhon mein kuch alag baat hai, Ek an-kahi daastan, kuch anjaane jazbaat hai,
Ratish Edwards
Apni zindgi mein kari galti kam nahi, Jiske liye khuda se kari binti kam nahi, Jiske liye humne bitaye jaagte raate kam nahi, Uske liye hamare ishq mein dum nahi, Aate aate uski yaad aati kam nahi, Kisi dawa se hota ye dard kam nahi,
Ratish Edwards
Gazal of Janid Kashmiri {NAHI HAI GHAM SIRF TUM KO } Nahi hai gham sirf tum ko, Mujhe bhi gham hai bohot jana, Ye zindagi ki raahon mein, Hai humne dukh se bhi takrana. Tumhare aansoon hain qeemti, Mere bhi dard hain kahin chhupay, Par humko mil kar chalna hai, Har mushkil se humko ladna hai. Raat ke andheron se darte nahi, Subah ki roshni ko paana hai, Dil mein umeedon ka chirag jalao, Har rukh ko roshan kar dena hai. Ghamon ki baarishon mein bhi, Sang rahe humara pyaar, Ek doosre ka saath denge, Mushkil ghadiyon ko aasan karenge. Tum ho meri zindagi ka rang, Meri khushi, meri duniya ho, Mushkil raahon pe chal kar bhi, Har manzil tumse hi roshan ho. To chalo saath hum mil kar, Har gham ko hum saath sahenge, Mere haath mein tumhara haath ho, Har dukh ko hum khushiyon mein badal denge.
Janid Kashmiri
sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us kī jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ sunā hai jab se hamā.il haiñ us kī gardan meñ mizāj aur hī laal o guhar ke dekhte haiñ sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ palañg zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ sunā hai us ke badan kī tarāsh aisī hai ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ ruke to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ kise nasīb ki be-pairahan use dekhe kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ kahāniyāñ hī sahī sab mubālġhe hī sahī agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ 'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ
Ahmad Faraz
Apni zindgi mein kari galti kam nahi, Jiske liye khuda se kari binti kam nahi, Jiske liye humne bitaye jaagte raate kam nahi, Uske liye hamare ishq mein dum nahi, Aate aate uski yaad aati kam nahi, Kisi dawa se hota ye dard kam nahi, Waqt bewaqt hoti aksar Aankhen nam Kam nahi, Jab jab aati uski yaad, aur hum rehte hum nahi, Apni zindgi mein kari galti kam nahi, Jiske liye khuda se kari binti kam nahi
Ratish Edwards
Ye Chand Yahaan kuch chattanon se fisal raha hai... Sayad tumhare yaha kisi daal se jhool raha hoga. Chalo kuch to hai Jise hum dekh lete hain ek sath jaise ek laltain ko dekh kar Kayi Khaidi guzar dete hain sari raat..... Kayi Jailon me bati hai duniya Har jail me khaid hai insaan sab jail me hi to hain koi chote jail me to koi bade...
Saket Assertive