Woh Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Woh. Here they are! All 54 of them:

sharab peene de masjid mein beth kar, Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
Mirza Asadullah Khan Ghalib
Muhabbat jin ky saath hoti hai, woh kabhi tanha nahi hoty. muhabbat unhen kabhi tanha hony nahi deti.
Farhat Ishtiaq (Dil Se Niklay Hain Jo Lafz / دل سے نکلے ہیں جو لفظ)
Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota.. khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain.. Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai... Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.
Umera Ahmed
Imtihaan yeh kaisa humari zindagani mein, Woh bheeg rahi hai aag mein Aur main jal raha hun paani mein.
Faraaz Kazi
Buht se dukh hamari qismat men likhy hoty hain. woh hamen milny hoty hain. ba'az sach'chaaiyan aisi hoti hain ky woh chahy hamen jitni bhi nagawaar lagen mgr hamen unhy qabool krna parhta hai. insan har waqt khud per taras khata rahy, apni zindagi men aany waly dukhon ky baary men sochta rahy to woh dukh us per haawi hojaty hain. phir uski zindagi men agar khushiyan aati bhi hain to woh unhen daikh nahi patha.
Farhat Ishtiaq (Mere Humdum Mere Dost / میرے ہمدم میرے دوست)
Insaano ky, insaano ky saath baahemi tamaam jazbon ko jab Allah ny Roz-e-Awwal takhleeq kia to muhabbat hi woh waahid jazba tha jis ki taqdeer men jeet, jeet aur sirf jeet likhi gai...muhabbat ki qismat men haar nahi aur ye us Rubb ka faisla hai.
Farhat Ishtiaq
Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha uss ka?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.
Umera Ahmed
Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga,yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha.Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta.Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta.Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta.Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha?Uss ka I.Q Level kiya tha.Kissay parwah thi?Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi.Kissay hosh tha?Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha.Kaun rashk karnay wala tha?Woh wahan uss hujoom mai thokar kha kar girta,Bhagdar mai ronda jata.Uss kay ooper say guzarnay wali khalqat mai say koi bhi yeh nahin sochta kay unhone kaisay dimaagh ko kho diya hai.Kiss I.Q Level kay nayaab aadmi ko kis tarah khatam kar diya tha.Ussay duniya mai apni auqaat,apni ahmiyat ka pata chal gaya tha.Agar kuch mughaalita reh bhi gaya tha tu ab khatam hogaya tha.Agar kuch shubah baaqi tha,tu ab door hogaya tha.Fakhar,takabbur,rashk,ana,khudpasandi,khud sataayishi kay her bachay hue tukray ko nichor kar uss nay andar say phaink diya tha.Woh in hi alaaishon ko door karwanay kay liye wahan aya tha.
Umera Ahmed
Taalim-o-tadrees ki barhi bad naseebi yeh hai ky aam ustaad amuman oast darjay ka shakhs hota hai aur woh zehni, jismani aur jazbaati tor per lakiir key fakiir qisam ki batin sochta hai. Isy zabt-o-nazam sy middle calss logo sy aur parhaku talbah ko parhany sy muhabbat hoti hai. Lykin sara din woh barhi qadar awar shakhsieto aur in ky karnaamo ki misalen dyta hai. Aysy log jinhuny kabhi mawshray ky saath mutabqat na ki. aam tareen hoty hoy woh aysy logo ki taalim-e-aam kerta hai jin ki satah per woh soch bhi nahi sakta , jin ki satah per woh soch bhi nahi sakta. Is ka apna kirdaar in bechu ko aam banany per masar rehta hai aur iski taalim bechu ko khaas banany per uksati hai. School sy bhaag jany waly bechu ki jagah school mai nahi hoti lykin inhi baaghi bechu ko bench per kharha ker ky in azeem shakhsieto ki rosahn misalen di jati hain jo khud school sy bhagy hoty hyn. Woh bechu ko geniouses ki kitaaben padha ker aam bnany ki koshish kerta hai aur yehi taalim ka sub sy barha almiyah hy." Bano Qudsia
Bano Qudsia (Raja Gidh / راجه گدھ)
Ghar mein tha kya jo tera gham usay gharat karta? Woh jo hum rakhte the ik hasrat-e tamir, so hai." "What did we have at our home that your sorrow could wreck? All we had was a desire to create, and that is still there.
गुलज़ार (Mirza Ghalib)
Woh mohbhatt bhi kya mohbhatt jaha mehboob ke bhichadne ka darr na ho
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Woh harh jagah mojood heh. Iss ghar keh dar-o-diwar bhee rotay-henh.
Sabaa Tahir (All My Rage)
Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Woh kisi ko bhoolne ke liye tere pass aa raha hain
Wajid Shaikh (Sukoon)
Bhaisaab spinner ko spinner batsmen banata hein! Agar usse aap ball spin hi naa karne do, aur pehli hi over me usse bahar pheink do woh zindagi bhar spin nahi karega.
Vikram Sathaye (How Sachin Destroyed My Life ...but gave me an All Access Pass to the world of cricket)
Qafas mein mujhse rudaad-e-chaman kahte na dar humdam, Giree hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaan kyun ho.
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
Mahol sahi ho to jo nasha whiskey ke glass me paani peene se kahin hota hai Woh darr ke mare paani ke glass me whiskey dal kar nahi hota hai!
Tapan Ghosh
Kabhi yeh fikar,kabhi woh musibat Zindagi kya yunhi guzarne waali hain
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Woh ghar waalo ke haatho dabaav mein thi Usne phir bhi mera saath na chora
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Live for One day instead to die every day. Work is worship Do or die.
Nancy Freeman Patchen (The Journey of the Master: Swami Chinmayananda; the Man, the Path, the Teaching)
Anginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai Kaun kahta hai ki saadik na thay jazbey unkey? Lekin unke liye tash-heer ka saamaan nahin Kyunki woh log bhi apni hi tarah muflis thay . . . Yeh chamanzaar, yeh Jamuna ka kinaara, yeh mahal Yeh munak-kash daro-deewaar, yeh mehraab, yeh taak Ek shahenshah ne daulat ka sahaara lekar Hum gareebon ki mohabbat ka udaaya hai mazaak
Akshay Manwani (Sahir Ludhianvi - The People's Poet)
Intezamat hue, woh hue ruksat. Mohhabat ka ameer, fakir hogya
Samar Sudha
Shayero'n si Shayeri main karta chala gya, Mehboob ko bahoo'n mein bharta chala gya. Tha unko bhi Ilam iss mohabat mere dost, Par najane kyun woh apne aap se mukarta chala gya
Samar Sudha
Safar main hai jo kab se kahin woh hawa toh nai... Kiwaaron se pocho kahin woh dastak se khafa toh nai... Ayeney main jo nazar aata hai aur nai bhi... Mera ek aks meri hi nazaron se chupa toh nai...
Jasz Gill
NOT ONE CREASE IT STRAIGHTENS ALCOHOL WASTES TIME INSIDE ME एक भी सलवट नहीं जो वो निकाल देती हो शराब मेरे सिर्फ़ अंदर वक़्त बर्बाद करती है EK BHI SALVAT NAHIN JOH WOH NIKAL DETI HO SHARAB MERE ANDAR WAQT BARBAD KARTI HAI 4 October National Vodka Day
Vineet Raj Kapoor
..a man who expresses sorrow publicly by crying would be humiliated by the taunt, 'Auraton jaise ro rahe ho?' (Why are you crying like a woman?) And who does not remember that stirring line of Subhadra Kumari Chauhan's--'Khoob ladi mardani, woh toh Jhansi wali rani thi.' (Bravely she fought, the Rani of Jhansi/Like a man she did fight). What does this line mean? Even when it is a woman who has shown bravery, it still cannot be understood as a 'feminine quality'. Bravery is seen as a masculine virtue no matter how many women may display it or how few men.
Nivedita Menon (Seeing Like a Feminist)
Kuch dhundhla sa yaad hai; kuch dhundhla sa he dekhti hun; woh sehmi si andheri raat, woh aik ajeeb si khamoshi aur phankay ki ahista se chalne wali bechain awaaz. Khirki per nazar pri to yun lga jese chand or sitaron ki lapait mein mehfooz hun mein; lekin achanak woh jo aik dastak hui aur dill ki dharakne ki raftar kuch tez maloom hui balkay khassi tez maloom hui ese jese kisi ne mun per hath rakh dya hou; tharthrahat aur ghabrahat k sath awaz halak se nikal rhi hai lekin koi sunne wala nahi ya awaz he nahi thi. woh khamosh si aah-o-pukaar, woh nazron ka gir jana, aur honton ka khushk hojana; woh jo yun mehsoos hua k shayad kisi ki mojoodgi ka najaiz ehsas hua, kisi ka hona na gawaar kya, na zeb lga; khassa haya ka daman chaar hou rha tha, kaheen badboo si mehsoos hui; shayad woh qatal-e-khass ho rha tha, khuda dekh raha tha; uski woh garam sansain aur meri khamosh siskyan; laal joray per kali siyaahi ka rung charh raha tha, woh jora mehaz aik hawa ka jhonka sa mehsoos hua jo tez andhi ki nazar hogya; woh kaheen mehfil-e-khass loot raha tha, mein usi mehfil mein khud ko zinda dargor ker rhi thi; aur kaheen chambeli ka phool murjha gya, baghbaan kahan tha? Koi to dastak thi jiske hone per yun lga, woh jo me mehfooz thi apne he ghar mein woh mehaz aik khayal tha; aik veham-o-ghuman tha; jo kaheen us raat k andhere mein dher hogya.
Sheikh fatyma
Zindagi ki train per sawaar, hawa k woh zor se jhonkon se urne wali zulfon ne kuch rukh badalti hue raston ki yaad dilaye; asman to aik he tha lekin badalte hue rung aur yadain. Woh radio per lgi hui dhun aur train k chalne ki awaz kuch mukhtalif theen lekin unka aik sa he taluq mehsos hua. Kahan zindagi ruk si gyee thi; tham sa gya tha karwan; thehar se gye the kam;chalti rhi hawa; khilte rahe phool. Ehsas hua k zindagi to mukhtasir he rahi hamesha; farq itna hai k masroofiat ne kabhi yeh mehsoos krne ka waqt he nahi dya. Kya waqt ka paheya yun ghooma k dunya ruk si gyi aur zameen-o-asmaan ne sans lena shuru kardya jo shayad kaheen ruk sa gya tha. Kaheen woh taluq aur rabta thehar sa gya; woh zindagi ki tez raftar kaheen halki hote hue mehsoos hone lgi; kuch muktalif sa lgne lga waqt shayad kaheen woh tez hawa jo andhi k manind thi woh ub tham si gyi thi. zindagi ne naya rukh le lya; aur insan heraan hogye.
Sheikh fatyma
Where you should go with your love? If you want go somewhere, never forget go to beach with your love. Why? She lost her heart to see you in beach. — Cherry Nguyen. Here is the quotes collection how to enjoy in beach with your love. Do you want to know? 1. It was love at first sight the day I met the beach. Can i say love you forever ? — Cherry Nguyen. 2. Woh, the smell of salt and sand. I wanga to taste.There is no elixir on this blessed earth like it. — Cherry Nguyen 3. The ocean is everything I want to enjoy. Beautiful, mysterious, wild and free. — Cherry Nguyen. 4. I just wanna have sun and play with wave. — Cherry Nguyen 5. Let the sea do you free. — Cherry Nguyen Read more on my webiste
Letusmakeyourich
YOU ARE IMMERSED IN THE BAD WORLD AND THEY THINK YOU ARE AT WORK तू दिल से लगा है जहान-ए-ख़राब में वो समझते हैं तू काम किया करता है TUU DIL SE LAGAA HAI JAHAN-E-KHARAAB MEIN WOH SAMAJHTE HAIN TU KAAM KIYA KARTA HAI
Vineet Raj Kapoor
Kabhi Kabhi isi khumaar main dekh leta hoon sitaron ko.. Woh bhi mujhe dekhney ki aarzoo main jal rahe hongey..
Jasz Gill
Poetry is a never ending journey.
Subrat Saurabh (Kuch Woh Pal (Hindi Edition))
Unke dekhe se Jo aa jaatee hai munh par raunaq, Woh samajhte hain ke beemaar ka haal achcha hai. The beloved visits her suffering lover whose face lights up on seeing her. And she wrongly thinks that the lover is well and gives him no sympathy.
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
This is a bank that does not know anything beyond business. Chetan told me, 'When we make presentations to our MD, he says, "Teri unchi English mere ko samajh me nahi aati hai; mere ko ye bata ki ladoo kidhar hai."' Everybody in HDFC Bank understands what ladoo (a ball-shaped sweetmeat) stands for. The presentations don't last more than four to five slides. Aditya loves talking to the point. 'Paisa kidhar hai woh dikha, mujhe aur kuch nahi samajhta hai, seedha baat pe aa. Mujhe tu global gyan mat de.
Tamal Bandopadhyaya (A Bank for the Buck)
Then Vajpayee mentioned Gujarat. ‘Woh hamare se galti hui,’ he said. Perhaps he felt that was the reason he lost power; because he did not stop the 2002 riots.
A.S. Dulat (Kashmir the Vajpayee Years)
Girte hain shahsawar hi maidan-e-jung mein. Woh tifl kya gire jo ghutno ke bal chale – only the horseman falls on the battlefield; how will that child fall who crawls on his knees,
Abhinav Agarwal (Predators and Prey)
The truth doesn’t matter. I am screwed. If I even utter one word in my defense, those young, rabid feminists will eat me alive. Woh sab mujhko kha jaingi. What kind of generation is yours, that casts such a wide net and leaves no room for nuance? Tell me, who is vetting these anonymous posts? Don’t they understand that what they are doing can destroy a person’s life, his life’s work?
Sheba Karim (The Marvelous Mirza Girls)
One thing is for sure.. we all pay for our sins in this very life.. i have been paying for my sins, not sure if there’s some or much more left to pay.. remember, you don’t get to choose the sentence and there are no discounts & deals.. Bharna Toh Poora Padta Hai Woh Bhi Sood Samet! (You gotta pay it here only with interest) Be as much as good as you can to everyone.. even to to those who hurt you..
honeya
Al principio, cuando empiezas a informarte sobre la filosofía estoica, podría darte la impresión de que es como quitarle el sentido a la vida, pero es precisamente todo lo contrario. Porque practicar esta filosofía es cuidar el alma, es empezar con una formación espiritual muy seria, pero no en sentido religioso o “woh-woh”, sino en el sentido filosófico asociado al sistema de valores principales o, como los estoicos lo llamaban, virtudes.
Isra García (Escuela de Estoicismo Moderno: Cómo prepararte mental, emocional y espiritualmente para cualquier cosa que venga (porque vendrá) (Spanish Edition))
Woh anghuti jo mohbhat se di hain usne Mere marne par bhi na utaare koi
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Woh ghar chor rahi thi mere liye is yakeen ke saath Ke usey wajid ki taraf pehla kadam uthana hain
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Woh hiqaayat se jab haqeeqat bane Main chahunga bas meri mohabbat bane..!
Prathmesh Yelne (The Dark Girl: A Mystery Novel)
Dhoondte Dhoondte kyon tera har ek thikana… Har roz mujhe ku dejata hai ek naya bahana… Zulfon ka woh tera, teri ankhon ko chupana…. Ankhen woh teri, tera main deewana… Husnwalon se toh sahi me bhara hai zamana… Fir bhi qaid hai meri ankhon me woh sirf tera muskurana… Khwaishon se meri zindagi ka yun hi bhar jaana.. Phir bhi har ek khwaish se upar hai, bs tu mujhe mil jaana…
Basit Akram
Heena, 21, a computer science student, remembers the joy of argumentation before it became fear-laden and defined as conflict. She wistfully says, ‘ Woh  na  mind itna free ho jata hai isliye I avoid . You know the mind, it becomes so free, that is why I avoid it.’ She adds, ‘It leads to deep thinking.
Deepa Narayan (Chup: Breaking the Silence About India’s Women)
SAD SHAYARI taras aata hai mujhe masoon si palkho par jab bheeg kar kahti hai ke ab aur roya nahi jata aye hawa unse kahde kabhar meri maut ki aur son kahena ki kafan ki khuwaish mein meri laash unke aanchal ka intezaar kar rahi hai SAD SHAYRI Yeh Tuɱ Se keh Diya kis Ne, ke Baazi Haar Baithay Huɱ! Abhi Tuɱ Pay Lutanay ko Humari Jaan Baqi Hai. SAD SHAYARI Usse yeh weham hai ke ɱai usse chor na paaungi Huɱe ye khauf hai ke r๏yega azɱa ke mujhe !! Jise Tum Sacche Dil Se Pyar Karo Use Kabhi Mat Aazmana…! Kyo Ki Agar Woh Gunehgar Bhi Hua Toh Dil Tumhara Hi Tutega
Hinsmeer.blogspot.com
Tan man kare, tujhpe fidah, mehboob woh. Palkon pe jo, rakkhe tujhe, mehboob woh. Jiski wafah, tere liye ho. Aare yaaron, mahabbat hi to bandegi hai. Yeh na ho toh, keya fir, bolo yeh zindagi hai? Koyi toh dilbar ho yaar. Jisko tujhse ho pyaar. Koyi toh dilbar ho yaar...
Mehboob Kotwal
Lafz-e-haseen se bhi haseen hain woh Ab lafz-e-haseen adab se pukaare koi
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Kabhi yeh fikar kabhi woh musibat Zindagi kya yunhi guzarne waali hain
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Woh mila mujhe phir aise ke dubaara phir mila nahi
Wajid Shaikh
True… Money is a by-product. Business growth, turnover, bottomline is a by-product of what your heart and head want you to do. So if you follow that, money will follow. Woh Gandhi waali baat hai. ‘Find purpose and the means will follow.
Rashmi Bansal (Stay Hungry Stay Foolish)
People will say, yeh nahin ho sakta, woh nahin ho sakta. But anything is possible. If your mind can conceive it, your heart can believe it, you can achieve it… Try kar ke toh dekho!
Rashmi Bansal (ARISE, AWAKE THE INSPIRING STORIES OF YOUNG ENTREPRENEURS WHO GRADUATED FROM COLLEGE INTO A BUSINESS OF THEIR OWN)
The giants called us woh dak nag gran, the squirrel people,
George R.R. Martin (A Dance with Dragons (A Song of Ice and Fire, #5))
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
Ratish Edwards
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)
The original in Hindi is given below: Papanashini Ganga sabse badi Toh Ganga kaise badi? Woh to Prithvi par padi Prithvi sabse badi Toh Prithvi kaise badi? Woh to Sesha Naga ke sar par khadi Sesha sabse bada Toh Sesha kaise bada? Woh to Shankar gale mein pada Toh Shankar sabse bada Shankar kaise bada? Woh to Kailash shikhar par khada Toh Kailash sabse bada Kailash kaise bada? Woh to Ravana ko lad khada Toh Ravana sabse bada Ravana kaise bada? Woh to Ramabana se gira Toh Rama sabse bada Rama kaise bada? Woh to bhakta hridaye mein khada Toh bhakta sabse bada Bhakta kaise bada? Woh to Rama nama ko pada Toh nama sabse bada
Sudha Murty (The Sage with Two Horns)