Udhar Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Udhar. Here they are! All 6 of them:

Jahan mein ehle-e-imaan soorat-e-khursheed jeetay hain, Idhar doobey, udhar nikley; udhar doobey, idhar nikley In this world, men of faith and self-confidence are like the sun, They go down on one side to come up on the other.
Allama Iqbal
Jahaan mein ahle-eemaan soorat-e-khursheed jeetay hain, Idhar doobey, udhar nikley; udhar doobey, idhar niklay. In this world men of faith and self-confidence are    like the sun, They go down on one side to come up on the other.
Khushwant Singh (Truth, Love & A Little Malice)
Yahan khuda hai, wahan khuda hai... idhar khuda hai, udhar khuda hai... jahan nahin khuda hain, wahan kal khudega... Contributed
Khushwant Singh (Khushwant Singh's Joke Book 9)
Thoda Rukh sakti ho? "Waqt nahi hai" "Hamse udhar lelo" "Chuka nahi paungi" "Fir kabhi chuka dena " "Kya hum phir milenge??" "Haan hum phir milenge' "Tab sab kuch kitna naya hoga na !" "Hum purane hi rahenge "Kyu" "Purana sawal jo puchna hoga " Konsa "Thoda Rukh sakti ho kya??
Aariv Pandey
sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us kī jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ sunā hai jab se hamā.il haiñ us kī gardan meñ mizāj aur hī laal o guhar ke dekhte haiñ sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ palañg zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ sunā hai us ke badan kī tarāsh aisī hai ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ ruke to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ kise nasīb ki be-pairahan use dekhe kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ kahāniyāñ hī sahī sab mubālġhe hī sahī agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ 'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ
Ahmad Faraz
Irshad Malik, the Kashmiri militant now in London (who Firdous had wanted me to bring back to India when I was at R&AW), once said to me about PoK: ‘Uss taraf kya hai? Pakistan mein kya hai? Aap kyon fiqar karte hain? Inko jaane dijiye, paar dekhne dijiye, udhar kuchh bhi nahin hain.’ He said that Srinagar airport—and he obviously hadn’t been to Srinagar airport in at least twenty-four years—was better than any Pakistani airport. Hotels in Kashmir are as good as any in the world. ‘They have nothing there,’ he said. You should publicise these facts, he said to me: ‘Aapko toh film banani chahiye.
A.S. Dulat (Kashmir: The Vajpayee Years)