Phir Bhi Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Phir Bhi. Here they are! All 22 of them:

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.. Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.. Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa.. kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.. ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa.. ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa ....
Ahmad Faraz
Hazaron khwahishen aesi, ke har khwahish pe dam nikle Bahut nikle mere arman, lekin phir bhi kam nikle.
गुलज़ार (Mirza Ghalib)
Buht se dukh hamari qismat men likhy hoty hain. woh hamen milny hoty hain. ba'az sach'chaaiyan aisi hoti hain ky woh chahy hamen jitni bhi nagawaar lagen mgr hamen unhy qabool krna parhta hai. insan har waqt khud per taras khata rahy, apni zindagi men aany waly dukhon ky baary men sochta rahy to woh dukh us per haawi hojaty hain. phir uski zindagi men agar khushiyan aati bhi hain to woh unhen daikh nahi patha.
Farhat Ishtiaq (Mere Humdum Mere Dost / میرے ہمدم میرے دوست)
hazar baar zamana idhar se guzara hai, nai nai si hai kuch teri teri rahguzar phir bhi..
Firaq Gorakhpuri (Intik̲h̲āb-i kalām-i Firāq Gorakhpūrī)
Roohon ke hai yeh rishte, Zaroorat, majboori, sahoolat se pare, Bandish nahi phir bhi farrar nahi, Kuch aise yeh saath hai
Henna Sohail
Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai.. Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai... Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa.. Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai... Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath.. Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai... Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ... mujhe ek bhi nai mila, lagta hai nasamajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai... Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Mehram.. Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai... Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe.. Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai... Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri.. Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai.. Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar... Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai... Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...
Jasz Gill
Samay ruka nahin, hum kyon theher gaye? Abhi toh hum chale hi nahin, phir kyun thak gaye? Utho Pathik, mat bhramittho, dhoomil andhiyaare mein – Shreshtha wohi jo ghira nahin ho kshanik nirasha mein – Jago! Jago! Man mat behlao! Ek Maseeha tum bhi ban jao!
Anil Swarup (Ethical Dilemmas of a Civil Servant)
Woh ghar waalo ke haatho dabaav mein thi Usne phir bhi mera saath na chora
Wajid Shaikh (Her name is moon)
सौ दफ़ा प्यार में बर्बाद हो चुके है और फिर भी इश्क़ वो नशा है के जिसकी तलब नहीं मिटती। Sau Dafa Pyar Mein Barbad ho Chukey Hain aur Phir bhi Ishq wo Nsha hain Jisaki Talab nahi Mitati
Abhijeet Sarswat (An Empty Hug Hindi)
Uski Aankhen masoom bache si muskurati, kabhi shararti si apni hi dhun mein gunn gunati. kisi ke ishq mein sitaron si chamakti, toh kabhi dard se bhar kar khoob chalakti. chup chaap khoi si, har pal jaise kuch dhoondti, lafzon se parda karti, phir bhi sab kuch bolti. aaine sa sacha bayaan hai, yeh aankhein uski rooh ki zaabaan hai
Henna Sohail
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)
Kaisy kahoon ke mery liay kya ho tum? Khwahish hoty tu mit jaty, Zaroorat hoty tu poori ho jaty, Aadat hoty tu badal jaty, Majboori hoty, khatam ho jaty, Waqt hoty ager tu guzar jaty, Jo nishan hoty, kahin tu mil jaty. Tu kya ho, aakhir ho kya tum? Saasain kahoon, khwaab kahoon, Faasla kahoon ke sairaab kahoon? Khushi kahoon, gham kahoon, Apna kal kahoon ya haal hoon? Umeed kahoon, ehsaas kahoon, Tumhain jeet kahoon ke haar kahoon? Sakoon kahoon, afat kahoon, Masti kahoon ya firaak kahoon? Sooraj kahoon, parinda kahoon, Hoor kahoon ke khaak kahoon? Khudai kahoon, Khuda kahoon, Apni khudi kahoon ya alfaaz kahoon? Ke jo kahoon, kam hi kam hi kahoon, Keh ke bhi kuch na khas kahoon!! Phir kaisy kahoon ke mery liay kya ho tum? Haan, yeh sab tu nhi ho tum. Par meray liay tu mery sab ho tum. Meray tab ho tum, Meray ab ho tum. Kya keh doon ke meray rab ho tum? Meray kufriya sawaalon ka jawab ho tum. Tu tum ho, ke nahi ho tum?
Huseyn Raza
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par? Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
Asadullah Khan Ghilib
Tumhare liye mera pyaar samandar ki lehron ki tarah tha, lekin tumne mujhe nazarandaz kar diya jaise ke yeh tumhare liye kuch bhi nahi tha. Phir bhi, jab bhi tum lehron ki awaaz suno, yaad rakhna ke mera dil tumhare liye dhadakta hai.
Mahammad Sami Shaik (Blissful Soulmate)
Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
Janid Kashmiri
Lathi goli khayenge, phir bhi Bambai layenge
Ramachandra Guha (India After Gandhi: The History of the World's Largest Democracy)
Be-sabab jab kisi baato ko hawa lagti hain Waqt si bithi kahani bhi phir jawaan lagti hain
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Rabt ho gar khaamushi ka phir ye hona chahiye Lab pe jo aata nahin aankhon mein dekhna chahiye रब्त हो गर खामुशी का फिर ये होना चाहिए लब पे जो आता नहीं आंखों में दिखना चाहिए Khud kaha tha auraten kamzor hain hamne to phir Aadmi ko aadmi ka khoon piina chahiye खुद कहा था औरतें कमज़ोर हैं हमने तो फिर आदमी को आदमी का खून पीना चाहिए इस जमाने में जहां mamta bhi jhoothi ho sake Is zamane mein bhi tujhko ishq sachha chahiye इस ज़माने में जहां ममता भी झूठी ही सके उस ज़माने में भी तुझको इश्क़ सच्चा चाहिए Hain azal se hi hamen Farhaad banne ki talab Aur ziyaada ishq se hamko bhala kya chahiye हैं अज़ल से ही हमें फरहाद बनने की तलब और ज़ियादा इश्क़ से हमको भला क्या चाहिए Josh mein sab par katar kar rakh diye hamne magar Ab falak tak pahunchne ko ek gana chahiye जोश में सब पर कतर कर रख दिए हमने मगर अब फलक तक पहुँचने को एक जाना चाहिए Kaun kahta hai ki jitega to khush ho jaayenge Sher Kehne ke liye umeed paspaa chahiye कौन कहता है कि जीतेंगे तो खुश हो जाएंगे शेर कहने के लिए मम्मी पापा चाहिए Maine marham se kaha dikhla tu hamko mojza Zakhm to bharte hi hai naasoor bharna chahiye मैंने मरहम से कहा दिखला तू हमको मोजिज़ा ज़ख्म तो भरते ही है नासूर भरना चाहिए Misr ke bazaar mein naadan kharha Yusuf mira Aur bina sauda kiye usko Zulaikha chahiye मिस्र के बाज़ार में नादां खड़ा यूसुफ मिरा और बिना सौदा किए उसको जुलैख़ा चाहिए Aye khuda Sadiq ko tujhse kya gila jurrat siva Saath Mein sat kar nadi se ik gharaunda chahiya आये खुदा सादिक़ की तुझसे क्या गिला जुर्रत सिवा साथ में सट कर नदी से इक घरौंदा चाहिए
Taikhum Sadiq
Keh dunga wo baat bhi tumse, Jb aayegi barsaat phir kbhi, Pr darta hu... Subh ki chahat Ho na jaye raat phir kahin, Kho na jaye jayada ki chahat me, Iss rishte ka andaaz hi kahin
Unknown gustakh
Lots of words are there, vocabulary, in tonns of languages......still none to manifest my feelings.!! bahut saare shabd hain, phir bhi mujhe shabdo ki kami pad rahi hai.
sadhana devi chauhan
Dhoondte Dhoondte kyon tera har ek thikana… Har roz mujhe ku dejata hai ek naya bahana… Zulfon ka woh tera, teri ankhon ko chupana…. Ankhen woh teri, tera main deewana… Husnwalon se toh sahi me bhara hai zamana… Fir bhi qaid hai meri ankhon me woh sirf tera muskurana… Khwaishon se meri zindagi ka yun hi bhar jaana.. Phir bhi har ek khwaish se upar hai, bs tu mujhe mil jaana…
Basit Akram
Begum, teri husn ke hukkey mein aanch nahin; Ik ham hee hain Ki phir bhi gudgudai jaatey hain.
Anonymous