Lafz Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Lafz. Here they are! All 7 of them:

Muhabbat jin ky saath hoti hai, woh kabhi tanha nahi hoty. muhabbat unhen kabhi tanha hony nahi deti.
Farhat Ishtiaq (Dil Se Niklay Hain Jo Lafz / دل سے نکلے ہیں جو لفظ)
Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha uss ka?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.
Umera Ahmed
Kisi ko apni zindagi k poshidah goshay dikha kar ye kehna k ' daikho men ne tm par aitabar kiya hai...meray aitabar ko totnay na daina' uske toheen aur tazleel karny k matradif hai...men samjhta hon k insan ya to kise par aitabar kary nahi...aur agr kary to phr pora aitabar kary...ye kch aitabar aur kch bay aitabari wali kefiat dono fareqon k lye takleef dah hoti hai.
Farhat Ishtiaq (Dil Se Niklay Hain Jo Lafz / دل سے نکلے ہیں جو لفظ)
Ganjeena-e-manee ka tilism usko samajhey, Jo lafz ke Ghalib mere ashaar mein aaway.
Hasan Suhail Siddiqui (DUSK TO DUSK The Eternal Flame of Mirza Ghalib Urdu Poetry (The Mirza Ghalib Collection))
Maa, wo raaz-e-zindagi hai jo har lafz mein chhupa hai, jaise ke koh-e-qafas ki gehraaiyon mein. Uski muskurahat se noor barasta hai, jaise ke mausam-e-bahar mein phoolon ki khushboo. Uske pyaar mein jazbaat ki lehar chhupi hai, jo samandar ki gehraaiyon ko chhoo leti hai. Maa, har lafz uski ek dua hai, har nazar uski ek ibadat. Uski mohabbat mein rehmat chhupi hai, jise paak hawaon mein mehsoos kiya ja sakta hai. Uski azmat un pahaaron se bhi ooncha hai, jo aasman ki bulandiyon ko chhoo leti hain.
Huzefa Nalkheda wala
Lafz-e-haseen se bhi haseen hain woh Ab lafz-e-haseen adab se pukaare koi
Wajid Shaikh (Her name is moon)
Gece bastı kara kaplı kitab oldu hâkim, Anırırken tepişen bunca eşek hep âlim! Hepsi de kendisinin gittiği yol doğru sanır..." Türk toplumunun Atatürk sayesinde şeriat bataklığından çıkmış olmasından duyduğu sevinci belirtirken artık bir daha geriye dönülmemesi hususundaki dileğini de şeriatın yalanlar ve kandırmalarla dolu içyüzünü ortaya vurmak için şöyle konuşur: "Gitme maziye çıkan izbe o kanlı yoldan, Bil, muhabbetle seni karşılayan şeytandır, Aldatır lafz-ı uhuvvetle (kandırıcı sözlerle), tekin ol, kanma; Müslümanlıkta nifak (ikiyüzlülük) an'ane-i imandır (geleneksel imandır).
İlhan Arsel (Aydın ve "Aydın")