Kuch Log Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Kuch Log. Here they are! All 10 of them:

Ab toh chaahat bhi nahi hai ki, Mujhe kuch naaye log Jaan jaaye ab, Ab toh bs ek hi khwaaish hai ki, Mujhse mere ruthe hue log maan jaaye ab..
Basit Akram
Zindagi ke kisse, chand lamhon mein rachay, Aate hain log, rang bharne, phir chale jaate hain saath chhod ke. Mulaqatein adhuri si, baatein teri yaadon mein khoyi, Tanha safar, kyun lagta hai, kahani mein hai kuch khaas baat. Tooti doriyan, rishton ke silsile mein chhupi hain, Har musafir le kar aata hai, ek anokhi kahani, phir raahein hi bhatak jaati hain.
Huzefa Nalkheda wala
Most famous poetries and lines of Wajid shaikh 1. Waqt khraab tha isme sawaal kaisa Apne hi gair the isme malaal kaisa 2. Be-basi hain ek chuban si hain Khush hain par ek ghutan si hain 3. Hoti rahegi mulakaatein tumse Nigaaho se durr ho dil se nahi 4. Khamoshi se matlab nahi matlab nahi Matlab baato se hain,din toh guzar hi jaaege masla rato se hain 5. Chaand khud apne ujaalo ka nahi Tu khaakh hain kare,gumaan kaisa 6. Yeh kisne kaha ke woh tujhe dil se chah raha hain Kisi ko bhoolne ke liye woh tere pass aa raha hain 7. Phir har chiz se dil uth gaya Phir wahi uljhane humaari hain 8. Khwaab pasand hain mujhe Aksar wahi humari mulaaqat hoti hain 9. Khwaab hi aasra hain mulaaqaat ka Hui muddat ab khwabo mein bhi na mile 10. Kitna humne samjha hain naa hi aaj humne jaana hain Aasmaan ke aage bhi ek duniya hain,waha bhi ek zamaana hain 11. Khuda ke bando ka dil dhuka kar Khuda ko raazi karne chale hain log 12. Kuch logo se mil kar mene yeh jana Kuch logo se na milo toh behtar
Wajid Shaikh (Sukoon)
Jb tujse mohobbat ka zikr hua, To meri khamoshiya puri mehfil me goonj uthi... Teri yaad me kuch arz krne lagge, To shabdo me peero ke kavitaaye goonj uthi... Teri ankho ki khoobsoorti ka varnan kiya, To meri namm palko se ansuoo ki bochaar goonj uthi.... Log to boht the mehfil me, Par dil ki gehraai me akelepann ki lehr goonj uthi.... Ek shaks ne bade addab se pucha, "Aaj wo aapke saath kyu nahi?" Humne bhi bade aadar se jwaab diya, Humare rishte me mahzabb ki pareshaniyaa goonj uthi... Jb tujse mohobbat ka zikr hua, To taliyoo ke swarr se puri mehfil hi goonj uthi...
Gineet Singh Arora
Like or Comment karo ya na karo But padh lo Ek baar.. . . Bete Ne Maa k Kandhe Pe Apna Sar Rakh Kar Poochha: “Maa Kab Tak Apne Kandhe Pe Sone Dogi ?” . . . . MAA Ne Hanste Howe Kaha “Jab Tak Log Mujhe Kandhon Pe Na Utha Lein.” . . . . Respect ur parents... . plz agar kuch de ni sakte ho to unhe hurt bhi kabhi na karna .
Ali Azlan Bhalli
Agar ap kisi se mohobat karte hain aur apki mehbooba ap se mohobat karti hai To kuch log apke saath khare honge aur kuch logon apke khilaf. Agar ap ne aur ap ki mehbooba ne sabar se kaam liya aur sirf sabar se hi kaam liya. To ap apni mohobat ko paa lenge. Aur jo log apke khilaf honge wo apke samne haar jayenge aur majbor ho jayenge
Sher E Yazdan
Agar ap apni mehbooba se mohobat karte hain Aur apki mehbooba ap se mohobat karti hai. To kuch log apke saath khare honge aur kuch log apke khilaf. Agar ap ne aur apki mehbooba ne sabar se kaam liya aur sirf sabar lete rahe to ap apni mohobat ko paa lenge aur jo kuch apke khilaf honge wo apke samne haar jayenge aur wo majbor ho jayenge k ab ye log humare saath kya karege. Lehaza uske baad bhi apne kuch nahi karna bas ek dusre ko khush rakhna hai aur yahi ek sabar ja fun seekhna hai.k kon apka apna hai aur kon nahi.
Sher E Yazdan
Kuch log mere qalam se seete hain apne zakhm, Kuch logo'n ko main chubhta hun ek nok ki tarah...
Nitya Prakash
Kuch log khud ko festival samajh lete hain. Ki saal bhar unko sirf manate hi rahein log.
Nitya Prakash
Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
Janid Kashmiri