Kuch Baatein Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Kuch Baatein. Here they are! All 4 of them:

Zindagi ke kisse, chand lamhon mein rachay, Aate hain log, rang bharne, phir chale jaate hain saath chhod ke. Mulaqatein adhuri si, baatein teri yaadon mein khoyi, Tanha safar, kyun lagta hai, kahani mein hai kuch khaas baat. Tooti doriyan, rishton ke silsile mein chhupi hain, Har musafir le kar aata hai, ek anokhi kahani, phir raahein hi bhatak jaati hain.
Huzefa Nalkheda wala
Baatein hain kuch jo ankahi reh gayi hain, Tumhari humari yaadon ki gehraiyon mein, Iss dil ki aarzoo abhi adhuri reh gayi hai, Rukna tum vahin jahan mila karte the hum, Kyunki raaste mein humari parchaiyaan reh gayi hain, Tumhare bina zindgi kaisi hogi kuch pta nahi, Abhi jeene mein kuch kamiyaan reh gayi hain!
Chitra Batra (Heartbreak In Progress)
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
Ratish Edwards
Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
Janid Kashmiri