“
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle
Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle
Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle
Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle
Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle
Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle
Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle
Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
”
”