Hai Ishq Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Hai Ishq. Here they are! All 21 of them:

Pehlay pehlay apnay haath say banaye hue butt say piyaar hojata hai phir apnay aap say ishq hojata hai phir apnay aap ko aadmi kaamil samajhnay lagta hai.
Umera Ahmed
Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar, Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar; Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh Ko, Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar; Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri Hai, Khudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar Build in love’s empire your hearth and your home; Build Time anew, a new dawn, a new eve! Your speech, if God give you the friendship of Nature, From the rose and tulip’s long silence weave The way of the hermit, not fortune, is mine; Sell not your soul! In a beggar’s rags shine.
Muhammad Iqbal (Baal-e-Jibreel)
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan Knowledge said to me, Love is madness; Love said to me, Knowledge is calculation Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab O slave of calculation, do not be a bookworm! Love is Presence entire, Knowledge nothing but a Veil.
Muhammad Iqbal
Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai.. Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai... Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa.. Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai... Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath.. Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai... Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ... mujhe ek bhi nai mila, lagta hai nasamajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai... Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Mehram.. Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai... Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe.. Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai... Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri.. Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai.. Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar... Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai... Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...
Jasz Gill
Jee Utha' Sanson mein jo samaye wo, Ragon mein ghul jaaye jo, Haan issi se hai chalta ye jahan, Ishq ka hai wo jalwa bepanah. Rok sake no koi jo, Pyaar hai sailaab wo, Jee utha jo pada iskaa saya, Khoya jo dil sab kuch hai paya.
Sumit Agarwal (The Four Patriots)
Gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do dar kaisa Gar jeet gaye toh kya kehna haare bhi toh baazi maat nahin. It
Karan Johar (Unsuitable Boy)
Ishq badhte badhte junoon bann gaya, Aur junoon kisne samjha hai.
Virat (फीकी : A collection of hindi lines (Hindi Edition))
Samundhar se pooch raha hoon uski dayar kya hai... Jaise aashiq khuda se pooche khumaar-e eshgh ki wajah kya hai... Mudda ek kaash se lekar doosre kaash tak ka hi toh hai.. Toh kabhi zahir kar mijaaz main teri raza kya hai...
Jasz Gill
Sitaaron se aage jahaan aur bhee hain Abhi ishq ke imtihaan aur bhee hain Tahi zindagi se naheen ye fizaaein Yahaan saikadon karwaan aur bhee hain Qanaa’at na kar aalam-e rang-o boo per Chaman aur bhi aashiyaan aur bhee hain Agar kho gaya ik nasheman to gham kyaa Maqaamaat-e aah-o fughaan aur bhee hain Tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera Tere saamne aasmaan aur bhee hain Isee roz-o shab mein ulajh kar na rah jaa Ke tere zamaan-o makaan aur bhee hain Gaye din ke tanhaa tha mein anjuman mein Yahaan ab mere raazdaan aur bhee hain
Anisur Rahman (Hazaron Khawaishen Aisi: The Wonderful World of Urdu Ghazals)
Jinki nazron ki khidkiyon se unki rooh ko jhaakne ki ijaazat ho, Mohobbat hai mujhe har us shaks se. Aur shayad isilye khudse mujhe ishq hai..
Henna Sohail
Ab is akelepan se is qadr ishq hai mujhe, gar baatna chahun toh yun mehsoos hota hai maano jaise mohabbat se fareb ho
Henna Sohail
Uski Aankhen masoom bache si muskurati, kabhi shararti si apni hi dhun mein gunn gunati. kisi ke ishq mein sitaron si chamakti, toh kabhi dard se bhar kar khoob chalakti. chup chaap khoi si, har pal jaise kuch dhoondti, lafzon se parda karti, phir bhi sab kuch bolti. aaine sa sacha bayaan hai, yeh aankhein uski rooh ki zaabaan hai
Henna Sohail
Aaj Jana zaroori hai, Ushko batana zaroori hai, Mulakaate toh hoti rahengi, Ibadat-e-ishq Hui hai, Paigaam-e-mohobbat sunana zaroori hai, Aaj Jana zaroori hai..
Swastika Shikhar
Time of essence is not needed, love forever stands. As the winds of fate go on. The heart of mine speaks my love, The reflection of life that breaths in me. Passages of time. Forever speaks, Destiny of my soul is already written. For my love, for you. Where does the passion reside my love? Where does it hide? Let ms share something only i whisper to your heart, before a word is written or a word read, I already have you in my heart. Before a single word is put on paper, I kiss you in my lips. Before words come together, we already share a smile, a joy, a laugh. Before the sentence is finished, before the last word is composed, I already feel you in my arms. As the words are written, as my mind races for words, all I do is take my passion and lover transfers it to paper. All I ever wrote and written is about you, that you read is my love from my heart to you, to know passion is alive, is imply a reflection of you.....
Ishq Kya Hai
hosh vaalo.n ko KHabar kyaa be-KHudii kyaa chiiz hai ishq kiije phir samajhiye zindagii kyaa chiiz hai
Nida Fazli
Mera ishq Mazak nahi hai Jaana” Mazaq mein hoon, mazaq meri zindagi Magar mera ishq mazaq nahi hai jaana Teri yaadon mein basa hai mera dil Yeh dard, yeh haal, faraq nahi hai jaana Har pal tujhe sochta hoon mein tanhai mein Yeh khwab, yeh khayal, saraab nahi hai jaana Mere ashkon mein chhupi hai teri kahani Yeh dastaan, yeh bayaan, khaali nahi hai jaana Har lamha tujh se mohabbat karta hoon mein Yeh wada, yeh qasam, adakaari nahi hai jaana Mazaq mein hoon, mazaq meri zindagi Magar mera ishq mazaq nahi hai jaana
Janid Kashmiri
Tumhare bina zindagi" Main tumhare sath hamesha hoon, bas ye baat samajh lo Meri mohabbat sacchi hai, is ko apna yaqeen maan lo Tumhare bina zindagi, bas ek khaali kitaab hai Meri har saans tumhare naam, is ko apna khwab maan lo Ye jo shak ke saaye hain, inhein tum door kar do Meri wafa ko samjho, meri jaan, is ko apna haq maan lo Main jo toota hoon, ye tumhare gham mein hai Meri mohabbat ki shiddat, is ko apni aas maan lo Tum se bicharna, ye mera naseeb nahi ho sakta Meri jaan, mere dil ki baat sun lo, mujhe apna naseeb maan lo Jo dard tumhare dil mein hai, wo mere dil mein hai Meri mohabbat ki gawahi, is ko apna sukoon maan lo Main tumhara tha, tumhara hoon, aur tumhara rahoonga Meri jaan, is haqeeqat ko apne dil mein amanat maan lo Ab jo dil mein basa hai, wahi rahega hamesha Mere ishq ki shiddat, is ko apni jaan ka hissa maan lo Shaista, meri pyari Shaista, bas itni si guzarish hai Meri jaan, mujhe apna samajh lo, aur kabhi chhod ke mat jao
Janid Kashmiri
Ishq Ek Aisa Junoon Hai, Jo Jab Saath Na De, Toh Insaan Khali Sa Hojata Hai...
Kushal Awatarsing
Tumhari Muskaan se Sudhar jati hai tabiyat meri, Batao na tum ishq karte ho ya ilaaj.
.j.r.
Rabt ho gar khaamushi ka phir ye hona chahiye Lab pe jo aata nahin aankhon mein dekhna chahiye रब्त हो गर खामुशी का फिर ये होना चाहिए लब पे जो आता नहीं आंखों में दिखना चाहिए Khud kaha tha auraten kamzor hain hamne to phir Aadmi ko aadmi ka khoon piina chahiye खुद कहा था औरतें कमज़ोर हैं हमने तो फिर आदमी को आदमी का खून पीना चाहिए इस जमाने में जहां mamta bhi jhoothi ho sake Is zamane mein bhi tujhko ishq sachha chahiye इस ज़माने में जहां ममता भी झूठी ही सके उस ज़माने में भी तुझको इश्क़ सच्चा चाहिए Hain azal se hi hamen Farhaad banne ki talab Aur ziyaada ishq se hamko bhala kya chahiye हैं अज़ल से ही हमें फरहाद बनने की तलब और ज़ियादा इश्क़ से हमको भला क्या चाहिए Josh mein sab par katar kar rakh diye hamne magar Ab falak tak pahunchne ko ek gana chahiye जोश में सब पर कतर कर रख दिए हमने मगर अब फलक तक पहुँचने को एक जाना चाहिए Kaun kahta hai ki jitega to khush ho jaayenge Sher Kehne ke liye umeed paspaa chahiye कौन कहता है कि जीतेंगे तो खुश हो जाएंगे शेर कहने के लिए मम्मी पापा चाहिए Maine marham se kaha dikhla tu hamko mojza Zakhm to bharte hi hai naasoor bharna chahiye मैंने मरहम से कहा दिखला तू हमको मोजिज़ा ज़ख्म तो भरते ही है नासूर भरना चाहिए Misr ke bazaar mein naadan kharha Yusuf mira Aur bina sauda kiye usko Zulaikha chahiye मिस्र के बाज़ार में नादां खड़ा यूसुफ मिरा और बिना सौदा किए उसको जुलैख़ा चाहिए Aye khuda Sadiq ko tujhse kya gila jurrat siva Saath Mein sat kar nadi se ik gharaunda chahiya आये खुदा सादिक़ की तुझसे क्या गिला जुर्रत सिवा साथ में सट कर नदी से इक घरौंदा चाहिए
Taikhum Sadiq
Khamoshi ek awaaz hai jo rooh ko sunaai padhti hai
Wajid Shaikh