Gum Hai Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Gum Hai. Here they are! All 4 of them:

WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SAB…. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
Renu Maurya
Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhko pana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhe ye samjhana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, mushkil bada hai tujhe ye batana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Bada hu pagal mein tera dewana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Sabko chod kar bas tujhe hai apnana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Rakh du kadmo mein tere sara ye zamana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Bada hoga mushkil tere bina jee pana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Kahin duniya bhula na de hamare pyaar ka ye afsana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Har dard ko bhool bas tujhse hai rishta nibhana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Teri har shikayat aur gum ko hai mujhe mitana, Kabhi kabhi mujhe lagta hai, Kabhi kabhi mujhe lagta hai
Ratish Edwards
Sab Khafa hai” Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai Har saans mein bechaini ka dor hai Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi Har rasta jaise andheron mein gum hai Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai Zindagi ke is safar mein tanha sa hun Jahan koi bhi saathi nahin mera Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
Janid Kashmiri
Takta Hoon Tum Ko Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon Tum chalti ho to hawa gungunane lagti hai Tum bolti ho to khamoshi bhi jagti hai Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye Har lamha teri qurbat ki dua kiye Magar tum door ho, yeh faasle kyun hain? Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain? Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein
Janid Kashmiri