“
Sab Khafa hai”
Zindagi ke mod pe aisa aa poncha hun
Mohabbat bhi naraaz, dost bhi khafa hai
Ghar ke log bhi mujh se door ho gaye hai
Aur khwabon ki duniya bhi veeran pari hai
Dil ki har dhadkan mein dard ka shor hai
Har saans mein bechaini ka dor hai
Taleem ki rahein bhi ajnabi ho gayi
Har rasta jaise andheron mein gum hai
Mohabbat ke chiragh bujhne ko hai
Doston ki baatein ab bojh ban gayi hai
Ghar ka sukoon bhi kahin kho sa gaya
Zindagi ki ronaqein jaise chhup si gayi hai
Ansuon ki qatar, ghamon ki bahar hai
Har khwab adhura, har khwahish beqarar hai
Mohabbat ka rang, ab dhundhla sa para hai
Aur dil ki har umeed, bujh si gayi hai
Zindagi ke is safar mein tanha sa hun
Jahan koi bhi saathi nahin mera
Mohabbat ho, dosti ho, ya taleem ka rasta
Sab kuch ab bikra, sab kuch hai veeran
Phir bhi yeh dil kehta hai, umeed rakhoon
Andheron ke baad roshni zaroor aaye gi
Khwab phir se sajain ge, dil phir se chamke ga
Zindagi ke is safar mein ek naya sooraj ubhrey ga
”
”