Ehsas Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Ehsas. Here they are! All 6 of them:

WO PAL BHI KYA PAL THE WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE. BITAYA THA EK WAQT UN DOSTO KE SATH BHULE BISRE UN RATO KE SATH. JITE THE HUM BHI GURUR ME ZINDAGI NA HARNE KE SURAT ME YE ZINDAGI. MILI THI JAB PAHLI NAZAR TUJHSE. GUM HO GAYA THA YE DIL KAHI MUJHSE. RUK GAYA THA WAQT JAISE. THAM GAYI THI YE SAANSE VAISE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE WO CHUP CHUP KAR TUJHE DEKHNA. WO KHAWABHO ME BHI TUJHE DEKHNA WO DUAON ME TUJHE MANGNA WO NIGAHON ME TUJHE BAITHANA YAAD HAI WO SAB…. WO PAL BHI KYA PAL THE JO BITE HUE KAL ME THI TAB DIKHAYA TUNE. SACH HI BATAYA TUNE BIKTI HAI JAHAN ME SURAT NA HAI SIRAT KA KOI MOL. MILTI HAI MOHABBAT YAHA KAUDIYO KE MOL. ZIDD THI MERI BHI TUJHE PANE KI. EK DIN TUJHE EHSAS DILANE KI. SURAT TO BAS DO DIN KI KAHANI HAI. SIRAT HI ZINDAGI BHAR KAAM ANI HAI. AJ HOTA HAI TUJHE BHI MAHSOOS. JO KAL MUJH PAR THI BITI. AJJ WO TUJHKO HAI JINI . SAHI KAHA HAI KISI NE MOHABBAT KISI KO PAGAL BANA DE. TO KISI KO PATTHAR BANA DE. WO PAL BHI KYA PAL THE. JO BITE HUE KAL ME THE.
Renu Maurya
chaa.nd bhii hairaan dariyaa bhii pareshaanii me.n hai aks kis kaa hai ki itnii raushnii paanii me.n hai
Farhat Ehsas
Tum to ratao me sapnoo se jagah te ho... Mare khayalo me aker apne dedar se tadpate ho... Apne mulakhato se mare rag rag me samate ho... Door hoker bahoot tadpate ho r pas aker apna ehsas delate ho...
Alisha
Wo Mere Khayalo Ke Ehsas Mein Tha Wo Chup Raha Jab Mere Paas Mein Tha Mein Us-Se Bas Sach Sunna Chahata Tha Aur Wo Mujhe Jooth Bolne Ki Talaash Mein Tha Wo Mere Khayalo Ke Ehsas Mein Tha Wo Chup Raha Jab Mere Paas Mein Tha
Aamir Sarfraz
Kuch dhundhla sa yaad hai; kuch dhundhla sa he dekhti hun; woh sehmi si andheri raat, woh aik ajeeb si khamoshi aur phankay ki ahista se chalne wali bechain awaaz. Khirki per nazar pri to yun lga jese chand or sitaron ki lapait mein mehfooz hun mein; lekin achanak woh jo aik dastak hui aur dill ki dharakne ki raftar kuch tez maloom hui balkay khassi tez maloom hui ese jese kisi ne mun per hath rakh dya hou; tharthrahat aur ghabrahat k sath awaz halak se nikal rhi hai lekin koi sunne wala nahi ya awaz he nahi thi. woh khamosh si aah-o-pukaar, woh nazron ka gir jana, aur honton ka khushk hojana; woh jo yun mehsoos hua k shayad kisi ki mojoodgi ka najaiz ehsas hua, kisi ka hona na gawaar kya, na zeb lga; khassa haya ka daman chaar hou rha tha, kaheen badboo si mehsoos hui; shayad woh qatal-e-khass ho rha tha, khuda dekh raha tha; uski woh garam sansain aur meri khamosh siskyan; laal joray per kali siyaahi ka rung charh raha tha, woh jora mehaz aik hawa ka jhonka sa mehsoos hua jo tez andhi ki nazar hogya; woh kaheen mehfil-e-khass loot raha tha, mein usi mehfil mein khud ko zinda dargor ker rhi thi; aur kaheen chambeli ka phool murjha gya, baghbaan kahan tha? Koi to dastak thi jiske hone per yun lga, woh jo me mehfooz thi apne he ghar mein woh mehaz aik khayal tha; aik veham-o-ghuman tha; jo kaheen us raat k andhere mein dher hogya.
Sheikh fatyma
Zindagi ki train per sawaar, hawa k woh zor se jhonkon se urne wali zulfon ne kuch rukh badalti hue raston ki yaad dilaye; asman to aik he tha lekin badalte hue rung aur yadain. Woh radio per lgi hui dhun aur train k chalne ki awaz kuch mukhtalif theen lekin unka aik sa he taluq mehsos hua. Kahan zindagi ruk si gyee thi; tham sa gya tha karwan; thehar se gye the kam;chalti rhi hawa; khilte rahe phool. Ehsas hua k zindagi to mukhtasir he rahi hamesha; farq itna hai k masroofiat ne kabhi yeh mehsoos krne ka waqt he nahi dya. Kya waqt ka paheya yun ghooma k dunya ruk si gyi aur zameen-o-asmaan ne sans lena shuru kardya jo shayad kaheen ruk sa gya tha. Kaheen woh taluq aur rabta thehar sa gya; woh zindagi ki tez raftar kaheen halki hote hue mehsoos hone lgi; kuch muktalif sa lgne lga waqt shayad kaheen woh tez hawa jo andhi k manind thi woh ub tham si gyi thi. zindagi ne naya rukh le lya; aur insan heraan hogye.
Sheikh fatyma