Dhoka Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Dhoka. Here they are! All 1 of them:

KASHISH Kisi nazar mein kashish aisi, ke dil thehar jaye Chahne wale ka har zakhm, khud sanwar jaye Yeh jo lams hai tera, yeh jadoo ka raaz sa Dil ki veeran galiyon mein roshni bhar jaye Teri baaton ka asar dil pe utarta aisa Har khayal, har dua tujh pe hi thehar jaye Yeh mohabbat hai ya koi khwab ka dhoka Jo bhi mile, wohi khwahish ban ke bikhar jaye Meri har saans mein, tere wujood ka ehsaas Mere dil ka har dukh, tere qadam par mar jaye Kisi nazar mein kashish aisi, ke sab bhool jayein Dil ke har goshe mein tu hi tu thehar jaye
Janid Kashmiri