Ab Bas Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Ab Bas. Here they are! All 7 of them:

Kyu ki hm log kosis hi ker sakte hai or ya to apne sunna hi hoga ki kosis kerne waalo ki haar nhi hogi.To fir aap thoda rukiye yaha kosis ke sath Think bhi kaam aayegi jesi apki Think wesa hi apka dil hoga.Isliye sabse pehle apni Think ka daaira jo bhut kam hai use badaaiye jitna apne pyaar ko samjho ge.Utna hi apke pyaar ka ehsaas badta jaayega. Zindagi kam pad jaati hai use samjhne ke liyee.Pyaar esa honaa chahiye aager ak ko dard ho to dusre ko ehsaas ho jaaye aager ak ko yaad aaye to dusra tadap uthe .Kabhi hua hai apke sath aager haa to aap pyaar ke samunder me ho ab bas us samunder ko apni mutthi me kerna hai. Mene to pehle hi bola tha jitna samjho ge utna hi kam hai Or kabhi pyaar khuch paane ki umeed se nhi kerna chahiye.
Ashutosh Chaudhary
Kyu ki hm log kosis hi ker sakte hai or ya to aapne suna hi hoga ki kosis kerne waalo ki haar nhi hotti. To fir aap thoda rukiye yaha kosis ke sath think bhi kaam aayegi jesi apki think wesa hi apka dil hoga. Isliye sabse pehle apni Think ka daaira jo bhut kam hai use badaaiye jitna apne pyaar ko samjho ge.Utna hi apke pyaar ka ehsaas badta jaayega. Zindagi kam pad jaati hai use samjhne ke liyee. Pyaar.... Esa honaa chahiye aager ak ko dard ho to dusre ko ehsaas ho jaaye aager ak ko yaad aaye to dusra tadap uthe. Kabhi hua hai apke sath aager haa to aap pyaar ke samunder me ho ab bas us samunder ko apni mutthi me kerna hai. Mene to pehle hi bola tha jitna samjho ge utna hi kam hai Or kabhi pyaar khuch paane ki umeed se nhi kerna chahiye.
Ashutosh Chaudhary
Agar ap apni mehbooba se mohobat karte hain Aur apki mehbooba ap se mohobat karti hai. To kuch log apke saath khare honge aur kuch log apke khilaf. Agar ap ne aur apki mehbooba ne sabar se kaam liya aur sirf sabar lete rahe to ap apni mohobat ko paa lenge aur jo kuch apke khilaf honge wo apke samne haar jayenge aur wo majbor ho jayenge k ab ye log humare saath kya karege. Lehaza uske baad bhi apne kuch nahi karna bas ek dusre ko khush rakhna hai aur yahi ek sabar ja fun seekhna hai.k kon apka apna hai aur kon nahi.
Sher E Yazdan
sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se so apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ sunā hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ sunā hai aa.ina timsāl hai jabīñ us kī jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ sunā hai jab se hamā.il haiñ us kī gardan meñ mizāj aur hī laal o guhar ke dekhte haiñ sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ palañg zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ sunā hai us ke badan kī tarāsh aisī hai ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ ruke to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ kise nasīb ki be-pairahan use dekhe kabhī kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ kahāniyāñ hī sahī sab mubālġhe hī sahī agar vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ 'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ
Ahmad Faraz
Teri in aankhon mein Teri in aankhon mein kuch alag baat hai, Ek an-kahi daastan, kuch anjaane jazbaat hai, Aaj dil mein tera pyaar, haaton mein tera haat hai, Tham jaaye ab ye waqt, bas itni si darkaar hai, In aakhon mein teri chehra, baaton mein teri hi baat hai, Kat jati hai yaadon k sahare, ab ye lambi kali raat hai, Ek aag si lagti hai, bekaraar ho jate jazbaat hai, Kar deta hai agar koi, tanhaaiyon mein teri baat hai, In saanso mein teri hi mehak, aakhon mein tera hi aks hai, Tuje soch soch kat jate, mere ab din aur raat hai, Teri in aankhon mein kuch alag baat hai, Ek an-kahi daastan, kuch anjaane jazbaat hai,
Ratish Edwards
Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara, Beet Gaya vo waqt, kal jo tha hamara, Reh Gaya bas dard, aur ek zakhm gehra, Aksar yaad aata, uska woh chehra, Kuch bhooli baatein, aur hasna woh hamara, Jate jate aksar, uska woh ruk jana, Aur ye kehna, kaash thaher jaye ye waqt hamara, Jabhi yaad karta hu mein, apna woh waqt sunhera, Saath chali aati hai, uski yaadon ka pehra, Ab aur kya bataun, khul na jaye ye raaz hamara, Varna mazaak udayegi ye duniya, Tuta dil hai bechara, Na hum kisi k, na koi hamara, Kon chale saath, kon bane Sahara
Ratish Edwards
Ab toh nahi uthungi, Ab toh nahi uthungi, Ab toh nayi uthungi, bas nayi uthungi.
ret samadhi