Aansu Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Aansu. Here they are! All 6 of them:

β€œ
TUJHE WAPIS MEIN LAUN KAISE... Tere bin jeena is dil ko sikhaun kaise, Hoon dil shikasta, tujhe wapis mein laun kaise, Tujhe yaad kar k jo girtay hein aansu mere, Dunya walon se unko chhupaun kaise, Baad tere jo kuch bhi hai beeta mujh par, Dastaan wo mein tujh ko sunaun kaise, Wo jo soya tu us din to na utha kabhi, Raha sochta mein k tujh jo jagaun kaise, Poochtay hein yeh jo mujh se k tu kaisa tha, Teri azmat ka inko bataun kaise, Tujhe bichhray ik arsa ab hone ko hai, Magar is dil ko yeh yaqeen mein dilaun kaise, Chehray ki is hansi pe na jao yaaron, Tum ko dil k zakham mein dikhaun kaise, Tere hone se hi hansta tha yeh dil saadi, Hoon pareshan ab isko hansaun kaise…!
”
”
Saad Salman
β€œ
Likhna toh tha KHUSH hoon Tere bagair bhi... Aansoo magar KALAM se pehle hi gir gaye..:'(
”
”
Jagdeep singh sandhu
β€œ
MAR MAR KE JE RAHA HUN Je je ke mar raha hun, Mar mar ke je raha hun, Dil ka haal ye hai, bas Jise zehar pi raha hun. Khud se hi bair hai ab, Duniya se kya gila hai, Jashn-e-gham manata Aansu mein pi raha hun. Uljhnein meri saheli, Aansu mere saathi hai, Pal pal bikhar ke janid, Apni zindagi ji raha hun.
”
”
Janid Kashmiri
β€œ
Mushkile itni thi Jo chupai na gye Dil m Jo zazbaat the wo bataye na gye Socha nhi th mohabbat m aise fasane honge Jisme aansu chupaye na gye...!!
”
”
Krish Kumar ("The weight of deeds": The legacy of friendship and karmas)
β€œ
Ehasaan nahi , Ehsaas he pyar Aabsos nahi , Khusnaseebi he pyar Imtihaan nahi , Intihaan he pyar Inkar nahi , ikhiraar he pyar Aansu nahi , khusi he pyar I love u
”
”
SSS
β€œ
MEIN PIS CHUKA HUN Duniya ki iss reet se, Rishton ki iss preet se, Mooh se, man meet se, Mein pis chuka hun. Jhuti muskurahat mein, Dil ki her chaahat mein, Dard ki is parwaahat mein, Mein pis chuka hun. Mitti se bane wajood mein, Sapnon ke thake usool mein, Aansu ki har boond mein, Mein pis chuka hun. Guzar gayi jo rahein thi, Khwabon ki jo baahein thi, Khoye hue fasane ki raahein thi, Mein pis chuka hun. Duniya ke rangon se door hoon, Apne hi rang mein choor hoon, Bas khamoshi mein purzor hoon, Mein pis chuka hun. Khatam hui umeedon ki baat, Rishton ka har pyaala saath, Dil ke har zakhm ki baat, Mein pis chuka hun. Mujhe yun hi rehne do ab, Apni tanhaayi mein jeene do ab, Is fasane se rukhsat lene do ab, Kyunki, mein pis chuka hun.
”
”
Janid Kashmiri