Aankhon Quotes

We've searched our database for all the quotes and captions related to Aankhon. Here they are! All 11 of them:

Zamanay ke sawaloon ko main hass ke taal du Faraz, Lekin nami aankhon ki kehti hai "Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Ahmad Faraz
Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha uss ka?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.
Umera Ahmed
Rooth Na Jana Tum Se Kahoon To Main in Aankhon Mein Jo Rahoon To!
Javed Akhtar
Kisi ne Dhul kya jhonki Aankhon me, Kambakhat Pahle se Behtar dikhne Lga....
Surendra Sidar
Jaise Jaagi Hui Aankhon Mein Chubhen Kaanch Ke Khwab, Raat Is Tarah Deewanon Ki Basar Hoti Hai’ (The way dreams made out of glass prick wide-awake eyes, that is how some people spend the night).
Vinod Mehta (Meena Kumari)
Rabt ho gar khaamushi ka phir ye hona chahiye Lab pe jo aata nahin aankhon mein dekhna chahiye रब्त हो गर खामुशी का फिर ये होना चाहिए लब पे जो आता नहीं आंखों में दिखना चाहिए Khud kaha tha auraten kamzor hain hamne to phir Aadmi ko aadmi ka khoon piina chahiye खुद कहा था औरतें कमज़ोर हैं हमने तो फिर आदमी को आदमी का खून पीना चाहिए इस जमाने में जहां mamta bhi jhoothi ho sake Is zamane mein bhi tujhko ishq sachha chahiye इस ज़माने में जहां ममता भी झूठी ही सके उस ज़माने में भी तुझको इश्क़ सच्चा चाहिए Hain azal se hi hamen Farhaad banne ki talab Aur ziyaada ishq se hamko bhala kya chahiye हैं अज़ल से ही हमें फरहाद बनने की तलब और ज़ियादा इश्क़ से हमको भला क्या चाहिए Josh mein sab par katar kar rakh diye hamne magar Ab falak tak pahunchne ko ek gana chahiye जोश में सब पर कतर कर रख दिए हमने मगर अब फलक तक पहुँचने को एक जाना चाहिए Kaun kahta hai ki jitega to khush ho jaayenge Sher Kehne ke liye umeed paspaa chahiye कौन कहता है कि जीतेंगे तो खुश हो जाएंगे शेर कहने के लिए मम्मी पापा चाहिए Maine marham se kaha dikhla tu hamko mojza Zakhm to bharte hi hai naasoor bharna chahiye मैंने मरहम से कहा दिखला तू हमको मोजिज़ा ज़ख्म तो भरते ही है नासूर भरना चाहिए Misr ke bazaar mein naadan kharha Yusuf mira Aur bina sauda kiye usko Zulaikha chahiye मिस्र के बाज़ार में नादां खड़ा यूसुफ मिरा और बिना सौदा किए उसको जुलैख़ा चाहिए Aye khuda Sadiq ko tujhse kya gila jurrat siva Saath Mein sat kar nadi se ik gharaunda chahiya आये खुदा सादिक़ की तुझसे क्या गिला जुर्रत सिवा साथ में सट कर नदी से इक घरौंदा चाहिए
Taikhum Sadiq
mera TuTa hua chashma hi bharosa hai mera apni aankhon se apahij main koi bachcha hun
Tripurari Kumar Sharma
ख़ूबसूरती का मतलब है– दिल में मासूमियत, आँखों में हैरानी और होंटों पर सच।
Tripurari Kumar Sharma (Aakhiri Ishq)
Teri in aankhon mein Teri in aankhon mein kuch alag baat hai, Ek an-kahi daastan, kuch anjaane jazbaat hai, Aaj dil mein tera pyaar, haaton mein tera haat hai, Tham jaaye ab ye waqt, bas itni si darkaar hai, In aakhon mein teri chehra, baaton mein teri hi baat hai, Kat jati hai yaadon k sahare, ab ye lambi kali raat hai, Ek aag si lagti hai, bekaraar ho jate jazbaat hai, Kar deta hai agar koi, tanhaaiyon mein teri baat hai, In saanso mein teri hi mehak, aakhon mein tera hi aks hai, Tuje soch soch kat jate, mere ab din aur raat hai, Teri in aankhon mein kuch alag baat hai, Ek an-kahi daastan, kuch anjaane jazbaat hai,
Ratish Edwards
Bhajan mera sukoon hai, Namaz meri aankhon ki thandak, main in mein say kisi ko bhi nahi chor sakta. They complete me (Bhajan is my solace, Salah is the soothing balm for my eyes, I cannot abandon either. They complete me).
Aqsa Abdul Qadir (Wealth In The Treehouse: Stories of Karachiites)
Tujko pane ke liye ,khudko kho chukka hu, Yakin kar tujhe apna banakar tujme khona chahta hu. Saal gujar gaye tere aankhon me aankhen dale, Bas ek baar nazar se nazar milaana chaahta hu - Sudeep Nagarkar
Anonymous